bajuke
nukta-dān-e-adab tum ko kyā ho gayā
lahlahātī huī zehn kī fasl meñ
kis liye kar rahe ho bajūke khaḌe
is taraf vo charinde nahīñ ā.eñge
ishtihā kī jo bechainiyoñ ko liye
bote rahte haiñ har samt barbādiyāñ
nukta-dān-e-adab zehn kī fasl kī
ho sake to bahāreñ mujassam karo
ḳhauf ke isti.āroñ se kiyā fā.eda
nukta-dan-e-adab tum ko kya ho gaya
lahlahati hui zehn ki fasl mein
kis liye kar rahe ho bajuke khaDe
is taraf wo charinde nahin aaenge
ishtiha ki jo bechainiyon ko liye
bote rahte hain har samt barbaadiyan
nukta-dan-e-adab zehn ki fasl ki
ho sake to bahaaren mujassam karo
KHauf ke istiaron se kiya faeda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.