bakheDe
dā.ere, kuchh niim halqe
ye rayāzī ke bakheḌe
jī kā ik janjāl haiñ
bāteñ
ziyāñ kī
suud kī
maiñ muqayyad dā.eroñ meñ
is tarah kosoñ ko taktā huuñ
jaise ik bīmār bachcha
naqsh o lafz o saut se
bezār
bistar par
khulī khiḌkī se
rañgīñ
laal
niile
piile ballōnoñ ko
hasrat kī nigah se dekhtā hai
jo muallaq haiñ fazā meñ
daere, kuchh nim halqe
ye rayazi ke bakheDe
ji ka ek janjal hain
baaten
ziyan ki
sud ki
main muqayyad daeron mein
is tarah koson ko takta hun
jaise ek bimar bachcha
naqsh o lafz o saut se
bezar
bistar par
khuli khiDki se
rangin
lal
nile
pile balloonon ko
hasrat ki nigah se dekhta hai
jo muallaq hain faza mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.