balance-sheet
kise ḳhabar thī
ek musāfir mustaqbil zanjīr karegā aur safar ke sab ādāb badal jā.eñge
kise yaqīñ thā
vaqt kī rau jis din muTThī meñ band ho ga.ī saarī āñkheñ saare ḳhvāb badal jā.eñge
hameñ ḳhabar thī
hameñ yaqīñ thā
tabhī to ham ne toḌ diyā thā rishta-e-shohrat-e-ām
tabhī to ham ne chhoḌ diyā thā shahr-e-numūd-o-nām
lekin ab mire andar kā kamzor aadmī shaam savere mujhe Darāne aa jaatā hai
na.e safar meñ kyā khoyā hai kyā paayā hai sab samjhāne aa jaatā hai
THE BOTTOM LINE
kise KHabar thi
ek musafir mustaqbil zanjir karega aur safar ke sab aadab badal jaenge
kise yaqin tha
waqt ki rau jis din muTThi mein band ho gai sari aankhen sare KHwab badal jaenge
hamein KHabar thi
hamein yaqin tha
tabhi to hum ne toD diya tha rishta-e-shohrat-e-am
tabhi to hum ne chhoD diya tha shahr-e-numud-o-nam
lekin ab mere andar ka kamzor aadmi sham sawere mujhe Darane aa jata hai
nae safar mein kya khoya hai kya paya hai sab samjhane aa jata hai
THE BOTTOM LINE
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 156)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.