balle-baz
jab paḌhā.ī karte karte bor ho jaatā huuñ maiñ
daab kar ballā baġhal meñ field par aatā huuñ maiñ
phir nahīñ duniyā-o-mā-fīhā kā kuchh rahtā ḳhayāl
kheltā jaatā huuñ maiñ bas kheltā jaatā huuñ maiñ
dead pitch ho yā slow bowler to mere aish haiñ
fast pitch aur tez bowler ho to ghabrātā huuñ maiñ
in cutter out cutter se ho ke bilkul be-niyāz
band kar ke aañkh bas ballā ghumā jaatā huuñ maiñ
jab maiñ chhakkā mārtā huuñ aur vo ho jaatā hai catch
apnī is dīvāngī par jheñp sā jaatā huuñ maiñ
forward jaatā huuñ maiñ guglī uThāne ke liye
aqab meñ apne magar wicketeñ girī paatā huuñ maiñ
century kā garche le kar dil meñ jaatā huuñ ḳhayāl
lekin aksar le kar anDa hī palaT aatā huuñ maiñ
ho ke ab mohtāt maiñ khelūñgā agle match meñ
har dafa ye kah ke apne dil ko samajhtā huuñ maiñ
jab paDhai karte karte bor ho jata hun main
dab kar balla baghal mein field par aata hun main
phir nahin duniya-o-ma-fiha ka kuchh rahta KHayal
khelta jata hun main bas khelta jata hun main
dead pitch ho ya slow bowler to mere aish hain
fast pitch aur tez bowler ho to ghabraata hun main
in cutter out cutter se ho ke bilkul be-niyaz
band kar ke aankh bas balla ghuma jata hun main
jab main chhakka marta hun aur wo ho jata hai catch
apni is diwangi par jhenp sa jata hun main
forward jata hun main gugli uThane ke liye
aqab mein apne magar wicketen giri pata hun main
century ka garche le kar dil mein jata hun KHayal
lekin aksar le kar anDa hi palaT aata hun main
ho ke ab mohtat main khelunga agle match mein
har dafa ye kah ke apne dil ko samajhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.