bambai ki ek purani sham
shaam Dhale
church-gate ke us taraf
bīkhā bahrām kā kuaañ
cross-maidān ke fōtpath par bane
barsoñ purāne benchoñ par baiThe hue
barsoñ purāne pārsī
safed lāmbā coat
siyāh qadīm kulāh
ḳhāmosh aur gambhīr
khoī khoī nazreñ jamā.e
jaise purāne bamba.ī kī ruuh
aa niklī ho
aaj kī shaam kā koī manzar dekhne
sham Dhale
church-gate ke us taraf
bikha bahram ka kuan
cross-maidan ke footpath par bane
barson purane benchon par baiThe hue
barson purane parsi
safed lamba coat
siyah qadim kulah
KHamosh aur gambhir
khoi khoi nazren jamae
jaise purane bambai ki ruh
aa nikli ho
aaj ki sham ka koi manzar dekhne
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 157)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.