ban-bas
raat din ḳhvāb buntī huī zindagī
dil meñ naqd-e-izāfī kī lau
aañkh bār-e-amānat se chuur
mauj-e-ḳhūñ be-niyāz-e-ma.āl
dasht-e-be-rañg se dard ke phuul chuntī huī zindagī
ḳhauf-e-vāmāñdgī se ḳhajil
ārzūoñ ke āshob se muzmahil
muñh ke bal ḳhaak par aa paḌī
har taraf ik bhayānak sukūt
koī nauha na aañsū na phuul
hāsil-e-jism-o-jāñ be-nishāñ rahguzāroñ kī dhuul
ajnabī shahr meñ
ḳhāk-bar-sar huī zindagī
kaisī be-ghar huī zindagī
raat din KHwab bunti hui zindagi
dil mein naqd-e-izafi ki lau
aankh bar-e-amanat se chur
mauj-e-KHun be-niyaz-e-maal
dasht-e-be-rang se dard ke phul chunti hui zindagi
KHauf-e-wamandgi se KHajil
aarzuon ke aashob se muzmahil
munh ke bal KHak par aa paDi
har taraf ek bhayanak sukut
koi nauha na aansu na phul
hasil-e-jism-o-jaan be-nishan rahguzaron ki dhul
ajnabi shahr mein
KHak-bar-sar hui zindagi
kaisi be-ghar hui zindagi
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.