ban-bas ki ek sham
ye āḳhirī saa.at shaam kī hai
ye shaam jo hai mahjūrī kī
ye shaam apnoñ se duurī kī
is shaam ufuq ke hoñToñ par
jo laalī hai zahrīlī hai
is shaam ne merī āñkhoñ se
sahbā-e-tarab sab pī lī hai
ye shaam ġhazab tanhā.ī kī
patjhaḌ kī havā barfīlī hai
is shaam kī rañgat piilī hai
is shaam faqat āvāz tirī
kuchh aise sunā.ī detī hai
āvāz dikhā.ī detī hai
ye āḳhirī saa.at shaam kī hai
ye shaam bhī tere naam kī hai
ye aaKHiri saat sham ki hai
ye sham jo hai mahjuri ki
ye sham apnon se duri ki
is sham ufuq ke honTon par
jo lali hai zahrili hai
is sham ne meri aankhon se
sahba-e-tarab sab pi li hai
ye sham ghazab tanhai ki
patjhaD ki hawa barfili hai
is sham ki rangat pili hai
is sham faqat aawaz teri
kuchh aise sunai deti hai
aawaz dikhai deti hai
ye aaKHiri saat sham ki hai
ye sham bhi tere nam ki hai
- Book : Kulliyat-e-Ahmad Faraz (Pg. 663)
- Author : Ahmad Faraz
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.