banawaTi dilase
ye aag paanī havā ye miTTī
ye vāhimoñ kī karishma-sāzī
ye ilm-o-fan ke tamām qisse
ye aql-o-dānish kī saarī bāteñ
ye sab dilāse banāvaTī haiñ
maiñ dostoñ dushmanoñ kī zad meñ huuñ
har koī pesh-goiyoñ ke darāz qisse sunā rahā hai
ki sab ko apne currency noToñ kī fikr hai
har koī talab aur rasad ke chakkar meñ
apne bhaav chaḌhā rahā hai
khulī fazāoñ meñ par sameTe hue parinde bhī
aane vaalī sa.ūbatoñ ke muhīb manzar dikhā rahe haiñ
ye kyā hai sab kuchh ki kuchh nahīñ hai
havās kī dastaras se baalā
mire liye sirf vo sadāqat hai
jo mire jism-o-jāñ ko chhū kar guzar rahī hai
ki maiñ haqīqī mushāhidoñ tajraboñ kī bhaTTī meñ jal rahā huuñ
ye aag paanī havā na miTTī hai
sirf maiñ huuñ
ye sirf maiñ huuñ
ye aag pani hawa ye miTTi
ye wahimon ki karishma-sazi
ye ilm-o-fan ke tamam qisse
ye aql-o-danish ki sari baaten
ye sab dilase banawaTi hain
main doston dushmanon ki zad mein hun
har koi pesh-goiyon ke daraaz qisse suna raha hai
ki sab ko apne currency noTon ki fikr hai
har koi talab aur rasad ke chakkar mein
apne bhaw chaDha raha hai
khuli fazaon mein par sameTe hue parinde bhi
aane wali saubaton ke muhib manzar dikha rahe hain
ye kya hai sab kuchh ki kuchh nahin hai
hawas ki dastaras se baala
mere liye sirf wo sadaqat hai
jo mere jism-o-jaan ko chhu kar guzar rahi hai
ki main haqiqi mushahidon tajrabon ki bhaTTi mein jal raha hun
ye aag pani hawa na miTTi hai
sirf main hun
ye sirf main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.