banaras
har ik ko bhātī hai dil se fazā banaras kī
vo ghaaT aur vo ThanDī havā banaras kī
vo mandiroñ meñ pujāriyoñ kā hujūm
vo ghanTiyoñ kī sadā vo fazā banaras kī
tamām hind meñ mash.hūr hai yahāñ kī sahar
kuchh is qadar hai sahar ḳhushnumā banaras kī
pujāriyoñ kā nahānā vo ghaaT par aa kar
vo sub.h-dam kī fazā dil-kushā banaras kī
vo kashtiyoñ kā samāñ aur vo sair gañgā kī
vo ThanDī ThanDī havā jāñ-fizā banaras kī
hamāre dil se nikaltī hai ye duā 'aḳhtar'
ki phir bhī shakl dikhā.e ḳhudā banaras kī
har ek ko bhati hai dil se faza banaras ki
wo ghaT aur wo ThanDi hawa banaras ki
wo mandiron mein pujariyon ka hujum
wo ghanTiyon ki sada wo faza banaras ki
tamam hind mein mashhur hai yahan ki sahar
kuchh is qadar hai sahar KHushnuma banaras ki
pujariyon ka nahana wo ghaT par aa kar
wo subh-dam ki faza dil-kusha banaras ki
wo kashtiyon ka saman aur wo sair ganga ki
wo ThanDi ThanDi hawa jaan-fiza banaras ki
hamare dil se nikalti hai ye dua 'aKHtar'
ki phir bhi shakl dikhae KHuda banaras ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.