band darichon mein zindagi
band darīche, jo kabhī band nahīñ hote
jahāñ kirnoñ ke jhāñkne par pahre haiñ
añdherī koThariyoñ meñ zabāñ ḳhāmosh, jism bolte haiñ
jab koī ḳhvāhish-zāda apnī barahna ḳhvāhish liye
kisī band darīche kā ruḳh kartā hai
to pākīzgī aur pairāhan
kone meñ baiTh kar bain karte haiñ
zaḳhm-ālūd jism ke andar chīḳheñ kohrām barpā kar detī haiñ
itnī nahīf chīḳheñ
ki kisī kaan par vo dastak nahīñ de pātīñ
roz an-ginat jism taḌapte haiñ
aur un meñ Dheroñ ḳhvāhisheñ dafn kī jaatī haiñ
band dariche, jo kabhi band nahin hote
jahan kirnon ke jhankne par pahre hain
andheri koThariyon mein zaban KHamosh, jism bolte hain
jab koi KHwahish-zada apni barahna KHwahish liye
kisi band dariche ka ruKH karta hai
to pakizgi aur pairahan
kone mein baiTh kar bain karte hain
zaKHm-alud jism ke andar chiKHen kohram barpa kar deti hain
itni nahif chiKHen
ki kisi kan par wo dastak nahin de patin
roz an-ginat jism taDapte hain
aur un mein Dheron KHwahishen dafn ki jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.