banjar dil sairab karo
merā dil maidānoñ jaisā vus.at se bharpūr
lekin vo to sadī sadī kī qarn qarn kī dhuul sameTe
vīrāñ vīrāñ ujḌā ujḌā banjar banjar rahtā hai
aao! nas nas dukhte logo! āñsuoñ kī ghanghor ghaTā.eñ le kar aao
mere dil par aa kar umDo
aise TuuT ke barso jaise sāvan barse
merā dil sairāb karo
merā dil sairāb huā to tum dekhoge
kaise banjar dhartī meñ se nāzuk akhue phūTte haiñ
phir jab vāpas jāoge to ḳhālī haath nahīñ jāoge
mere dil ke phuul tumhāre gajre hoñge
aur tumhārī āñkhoñ meñ ashkoñ kī bajā.e naġhme hoñge
mera dil maidanon jaisa wusat se bharpur
lekin wo to sadi sadi ki qarn qarn ki dhul sameTe
viran viran ujDa ujDa banjar banjar rahta hai
aao! nas nas dukhte logo! aansuon ki ghanghor ghaTaen le kar aao
mere dil par aa kar umDo
aise TuT ke barso jaise sawan barse
mera dil sairab karo
mera dil sairab hua to tum dekhoge
kaise banjar dharti mein se nazuk akhue phuTte hain
phir jab wapas jaoge to KHali hath nahin jaoge
mere dil ke phul tumhaare gajre honge
aur tumhaari aankhon mein ashkon ki bajae naghme honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.