barf aag
mahkī mahkī āñkheñ
ūñche nīche Tiile
sannāToñ ke raste
sahmā sahmā bojh utaar
takte rahnā apnāyā
god kināre baazū le kar
qadmoñ meñ ākāsh
saa.e saa.e ḳhushbū thāme haath baḌhāyā
chāñd lajāyā
gaañv kināre
jism kā vahshī vahshī shahr
rasta bhūlā
mere āñgan
dhīme dhīme Tuut girā
mauj kī nāzuk Tahnī se
bārish hote koī pattā
zamīñ se jā ke lipaT gayā
saa.eñ saa.eñ har-sū phailī
duur kahīñ se jhīñgur bolā
chāñd kahīñ na thā
phailī phailī putliyoñ uupar kankar patthar āvāze
phir bhī paanī barsegā
moḌ suhānā mahkegā
āñkheñ ḳhvāb na dekheñgī
mahki mahki aankhen
unche niche Tile
sannaTon ke raste
sahma sahma bojh utar
takte rahna apnaya
god kinare bazu le kar
qadmon mein aakash
sae sae KHushbu thame hath baDhaya
chand lajaya
ganw kinare
jism ka wahshi wahshi shahr
rasta bhula
mere aangan
dhime dhime Tut gira
mauj ki nazuk Tahni se
barish hote koi patta
zamin se ja ke lipaT gaya
saen saen har-su phaili
dur kahin se jhingur bola
chand kahin na tha
phaili phaili putliyon upar kankar patthar aawaze
phir bhi pani barsega
moD suhana mahkega
aankhen KHwab na dekhengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.