barf-bari
barf har aan gire jaatī hai
bām-o-dar kūcha o maidāñ chup haiñ
raat ke sāya-e-larzāñ chup haiñ
koī motor kabhī bhūle se guzar jaatī hai
har qadam gintī huī
apnī chuñdhyā.ī huī āñkhoñ se
varna har samt bas ik āhanī ḳhāmoshī hai
koī āvāz na sargoshī hai
aur ye dil bhī ki thī garmī-e-bāzār jahāñ
aaj muddat se bayābān kī sūrat chup hai
zindagī hai ki kisī taur kaTe jaatī hai
barf har aan gire jaatī hai
ye samāñ barf se Dhak jā.egā
rāh-rau rāsta chalte hue thak jā.egā
umr-e-rafta ke ḳhat-o-ḳhāl-e-nihāñ
koī mushkil hī se pahchānegā
raaz sar-basta raheñge dil meñ
kis ko ġham hai ki unheñ jānegā
vaqt kī girtī huī barf gire jā.egī
ek dhundlā.ī huī raat kabhī aa.egī
zindagī yūñhī guzar jā.egī
barf har aan gire jati hai
baam-o-dar kucha o maidan chup hain
raat ke saya-e-larzan chup hain
koi motor kabhi bhule se guzar jati hai
har qadam ginti hui
apni chundhyai hui aankhon se
warna har samt bas ek aahani KHamoshi hai
koi aawaz na sargoshi hai
aur ye dil bhi ki thi garmi-e-bazar jahan
aaj muddat se bayaban ki surat chup hai
zindagi hai ki kisi taur kaTe jati hai
barf har aan gire jati hai
ye saman barf se Dhak jaega
rah-rau rasta chalte hue thak jaega
umr-e-rafta ke KHat-o-KHal-e-nihan
koi mushkil hi se pahchanega
raaz sar-basta rahenge dil mein
kis ko gham hai ki unhen jaanega
waqt ki girti hui barf gire jaegi
ek dhundlai hui raat kabhi aaegi
zindagi yunhi guzar jaegi
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.