barf ki wadi
barf-ālūda haiñ āñkheñ
samt kī pahchān mushkil ho ga.ī
kis taraf haiñ rāhatoñ ke ābshār
kin ilāqoñ meñ shajar ābād haiñ
kaun sā rasta hai larzāñ
āñdhiyoñ ke shor se
haiñ kahāñ husn-e-sadāqat kī suhānī vādiyāñ
silsila-dar-silsila kizb-o-riyā kī ghāTiyāñ
kis taraf hai aane vaalī sā.atoñ kā kohsār
kitne lambe haiñ yahāñ mār-e-nasheb
kis qadar ūñchī hai dīvār-e-farāz
maiñ kinār-e-umr se phislūñ to shāyad hī bachūñ
aa rahī hai
lamha lamha
bū-e-barf
barf-aluda hain aankhen
samt ki pahchan mushkil ho gai
kis taraf hain rahaton ke aabshaar
kin ilaqon mein shajar aabaad hain
kaun sa rasta hai larzan
aandhiyon ke shor se
hain kahan husn-e-sadaqat ki suhani wadiyan
silsila-dar-silsila kizb-o-riya ki ghaTiyan
kis taraf hai aane wali saaton ka kohsar
kitne lambe hain yahan mar-e-nasheb
kis qadar unchi hai diwar-e-faraaz
main kinar-e-umr se phislun to shayad hi bachun
aa rahi hai
lamha lamha
bu-e-barf
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 567)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.