barf pighlegī jab pahāḌoñ se
aur vaadī se kohrā simTegā
biij añgḌā.ī le ke jāgeñge
apnī lasā.ī āñkheñ kholeñge
sabza bah niklegā Dhalānoñ par
ġhaur se dekhnā bahāroñ meñ
pichhle mausam ke bhī nishāñ hoñge
koñpaloñ kī udaas ā.ankhoñ meñ
āñsuoñ kī namī bachī hogī
barf pighlegi jab pahaDon se
aur wadi se kohra simTega
bij angDai le ke jagenge
apni lasai aankhen kholenge
sabza bah niklega Dhalanon par
ghaur se dekhna bahaaron mein
pichhle mausam ke bhi nishan honge
konpalon ki udas aaankhon mein
aansuon ki nami bachi hogi
- Book : Yaar Julahe (Pg. 91)
- Author : Gulzar
- Publication : Vani prakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.