bargad se wapsi
vo bachchī gum-shuda hairat se āsār-e-qadīma vaalā safha khaul kar
schōl kī book paḌh rahī hai
use mālūm hī kab hai
jise nirvān miltā hai
vo sadiyāñ oḌh kar safhoñ meñ buddhā ban ke rahtā hai
vo paḌhte paḌhte jab tasvīr par nazreñ jamātī hai
to us ko, aañkh ke halqoñ meñ murda ḳhvāhishoñ kī zardiyāñ mahsūs hotī haiñ
ghane bargad ke saa.e meñ paḌe rahne se
us kī gaal pe sūraj kā bosa hī nahīñ hai
us ke sar ke baal kī sab tāzgī jañgal ke sabze meñ paḌī hai
use buddhā pe raham aayā
vo bachchī haath meñ pencil pakaḌ kar sochtī hai
aur phir tasvīr ke uupar
lakīreñ khīñch kar moñchheñ banātī hai
aur is tabdīlī se andar hī andar muskurātī hai
ki jaise us ne dānish kī sabhī kamzoriyāñ
apnī lakīroñ se chhupā dī haiñ
use mālūm hī kab hai
ki us ke haath kī jumbish ne andar kī
sabhī ālā.isheñ chehre pe rakh dī haiñ
vo jin ko jism se āzād kar ke ek arse se tyāgī thā
ab āsār-e-qadīma vaale safhe par 'danāyā' aur 'satā' ke koī mafhūm hī baaqī nahīñ haiñ
zarā moñchheñ banāne se sabhī dukh miT ga.e haiñ
marg' kī koī zarūrat hī nahīñ
buddhā kapilvastu kā shahzāda dobāra ban gayā hai
wo bachchi gum-shuda hairat se aasar-e-qadima wala safha khaul kar
school ki book paDh rahi hai
use malum hi kab hai
jise nirwan milta hai
wo sadiyan oDh kar safhon mein buddha ban ke rahta hai
wo paDhte paDhte jab taswir par nazren jamati hai
to us ko, aankh ke halqon mein murda KHwahishon ki zardiyan mahsus hoti hain
ghane bargad ke sae mein paDe rahne se
us ki gal pe suraj ka bosa hi nahin hai
us ke sar ke baal ki sab tazgi jangal ke sabze mein paDi hai
use buddha pe raham aaya
wo bachchi hath mein pencil pakaD kar sochti hai
aur phir taswir ke upar
lakiren khinch kar monchhen banati hai
aur is tabdili se andar hi andar muskuraati hai
ki jaise us ne danish ki sabhi kamzoriyan
apni lakiron se chhupa di hain
use malum hi kab hai
ki us ke hath ki jumbish ne andar ki
sabhi aalaishen chehre pe rakh di hain
wo jin ko jism se aazad kar ke ek arse se tyagi tha
ab aasar-e-qadima wale safhe par 'danaya' aur 'sata' ke koi mafhum hi baqi nahin hain
zara monchhen banane se sabhi dukh miT gae hain
marg' ki koi zarurat hi nahin
buddha kapilwastu ka shahzada dobara ban gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.