barkha-rut
Interesting Fact
on the way to Mussoorie
āsmāñ par chhā rahā hai abr-pāroñ kā hujūm!
nau-bahāroñ kā hujūm
aah ye rañgīn āvāra nazāroñ kā hujūm
kohsāroñ kā hujūm
badliyāñ haiñ yā kisī ke bhūle-bisre ḳhvāb haiñ
be-ḳhud o betāb haiñ!
yā havā par tairtā hai rūd-bāroñ kā hujūm
ābshāroñ kā hujūm
phirtī haiñ āvāra matvālī ghaTā.eñ is tarah
aur havā.eñ is tarah
jhūmtā phirtā ho jaise mai-gusāroñ kā hujūm
bāda-ḳhvāroñ kā hujūm
vādī-e-gañgā hai, barkhā-rut hai, kaalī raat hai
raat hai barsāt hai
aur fazā meñ tairne vaale nazāroñ kā hujūm
nashsha-zāroñ kā hujūm
nīl-gūñ pariyāñ ufuq meñ par haiñ phailā.e hue
baal bikhrā.e hue
yā umañD aayā hai sāvan kī bahāroñ kā hujūm
abr-pāroñ kā hujūm
nannhī nannhī būñdeñ girtī haiñ hijāb-e-abr se
yā naqāb-e-abr se
chhan rahā hai qatre ban ban kar sitāroñ kā hujūm
nūr-pāroñ kā hujūm
ye ghaTā.eñ haiñ ki ḳhvāboñ ke safīne haiñ ravāñ
be-qarīne haiñ ravāñ
bādbānoñ meñ chhupā.e chashma-sāroñ kā hujūm
jū-e-bāroñ kā hujūm
bijlī hai yā nuur kī zanjīr lahrā.ī huī
pech-o-ḳham khaa.ī huī
yā ḳhamīda marmarīñ phūloñ ke hāroñ kā hujūm
aur sitāroñ kā hujūm
ye samāñ bijlī kā ye mahtāb kī sī vādiyāñ
ḳhvāb kī sī vādiyāñ
nashshe meñ bhīgā huā ye sabza-zāroñ kā hujūm
kohsāroñ meñ ḳhushī kī bastiyāñ ābād haiñ
mastiyāñ ābād haiñ
chār-sū bikhrā paḌā hai sabza-zāroñ kā hujūm
marġh-zāroñ kā hujūm
yuuñ nazar aate haiñ kohsār-e-masūrī duur se
mast se maḳhmūr se
juuñ samundar se jazīroñ kī qatāroñ kā hujūm
sabza-zāroñ kā hujūm
ye safar, ye raat, ye barsāt aur phir ham-safar
al-amān o al-hazar
ek husn-e-yāsmīñ rañgīñ bahāroñ kā hujūm
māh-pāroñ kā hujūm
ye suhāne manzar aḳhtar muddatoñ yaad ā.eñge
muddatoñ taḌpāyeñge
aah ye raat, uf ye mastāna nazāroñ kā hujūm
ye bahāroñ kā hujūm
aasman par chha raha hai abr-paron ka hujum!
nau-bahaaron ka hujum
aah ye rangin aawara nazaron ka hujum
kohsaron ka hujum
badliyan hain ya kisi ke bhule-bisre KHwab hain
be-KHud o betab hain!
ya hawa par tairta hai rud-baron ka hujum
aabshaaron ka hujum
phirti hain aawara matwali ghaTaen is tarah
aur hawaen is tarah
jhumta phirta ho jaise mai-gusaron ka hujum
baada-KHwaron ka hujum
wadi-e-ganga hai, barkha-rut hai, kali raat hai
raat hai barsat hai
aur faza mein tairne wale nazaron ka hujum
nashsha-zaron ka hujum
nil-gun pariyan ufuq mein par hain phailae hue
baal bikhrae hue
ya umanD aaya hai sawan ki bahaaron ka hujum
abr-paron ka hujum
nannhi nannhi bunden girti hain hijab-e-abr se
ya naqab-e-abr se
chhan raha hai qatre ban ban kar sitaron ka hujum
nur-paron ka hujum
ye ghaTaen hain ki KHwabon ke safine hain rawan
be-qarine hain rawan
baadbanon mein chhupae chashma-saron ka hujum
ju-e-baron ka hujum
bijli hai ya nur ki zanjir lahrai hui
pech-o-KHam khai hui
ya KHamida marmarin phulon ke haaron ka hujum
aur sitaron ka hujum
ye saman bijli ka ye mahtab ki si wadiyan
KHwab ki si wadiyan
nashshe mein bhiga hua ye sabza-zaron ka hujum
kohsaron mein KHushi ki bastiyan aabaad hain
mastiyan aabaad hain
chaar-su bikhra paDa hai sabza-zaron ka hujum
margh-zaron ka hujum
yun nazar aate hain kohsar-e-masuri dur se
mast se maKHmur se
jun samundar se jaziron ki qataron ka hujum
sabza-zaron ka hujum
ye safar, ye raat, ye barsat aur phir ham-safar
al-aman o al-hazar
ek husn-e-yasmin rangin bahaaron ka hujum
mah-paron ka hujum
ye suhane manzar aKHtar muddaton yaad aaenge
muddaton taDpayenge
aah ye raat, uf ye mastana nazaron ka hujum
ye bahaaron ka hujum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.