barkha-rut
garmī kī tapish bujhāne vaalī
sardī kā payām laane vaalī
qudrat ke ajā.ibāt kī kaañ
aarif ke liye kitāb-e-irfāñ
vo shāḳh-o-daraḳht kī javānī
vo mor-o-malaḳh kī zindagānī
vo saare baras kī jaan barsāt
vo kaun-e-ḳhudā kī shaan barsāt
aa.ī hai bahut duāoñ ke ba.ad
vo saikḌoñ iltijāoñ ke ba.ad
vo aa.ī to aa.ī jaan meñ jaañ
sab the koī din ke varna mehmāñ
garmī se taḌap rahe the jān-dār
aur dhuup meñ tap rahe the kohsār
bhūbal se sivā thā reg-e-sahrā
aur khaul rahā thā āb-e-dariyā
sāñDe the biloñ meñ muñh chhupā.e
aur haañp rahe the chārpā.e
thiiñ lomaḌiyāñ zabāñ nikāle
aur lū se hiran hue the kaale
chītoñ ko na thī shikār kī sudh
hirnoñ ko na thī qatār kī sudh
the sher paḌe kachhār meñ sust
ghaḌiyāl the rūd-bār meñ sust
Dhoroñ kā huā thā haal patlā
bailoñ ne diyā thā Daal kandhā
bhaiñsoñ ke lahū na thā badan meñ
aur duudh na thā ga.ū ke than meñ
ghoḌoñ kā chhuTā thā ghaas daana
thā pyaas kā un pe tāziyāna
garmī kā lagā huā thā bhabkā
aur ans nikal rahā thā sab kā
tūfān the āñdhiyoñ ke barpā
uThtā thā bagūle par bagūlā
aare the badan pe lū ke chalte
sho.ale the zamīn se nikalte
thī aag kā de rahī havā kaam
thā aag kā naam muft bad-nām
rastoñ meñ savār aur paidal
sab dhuup ke haath se the bekal
ghoḌoñ ke na aage uThte the paañv
miltī thī kahīñ jo ruukh kī chhāñv
thī sab kī nigāh sū-e-aflāk
paanī kī jagah barastī thī ḳhaak
garmi ki tapish bujhane wali
sardi ka payam lane wali
qudrat ke ajaibaat ki kan
aarif ke liye kitab-e-irfan
wo shaKH-o-daraKHt ki jawani
wo mor-o-malaKH ki zindagani
wo sare baras ki jaan barsat
wo kaun-e-KHuda ki shan barsat
aai hai bahut duaon ke baad
wo saikDon iltijaon ke baad
wo aai to aai jaan mein jaan
sab the koi din ke warna mehman
garmi se taDap rahe the jaan-dar
aur dhup mein tap rahe the kohsar
bhubal se siwa tha reg-e-sahra
aur khaul raha tha aab-e-dariya
sanDe the bilon mein munh chhupae
aur hanp rahe the chaarpae
thin lomaDiyan zaban nikale
aur lu se hiran hue the kale
chiton ko na thi shikar ki sudh
hirnon ko na thi qatar ki sudh
the sher paDe kachhaar mein sust
ghaDiyal the rud-bar mein sust
Dhoron ka hua tha haal patla
bailon ne diya tha Dal kandha
bhainson ke lahu na tha badan mein
aur dudh na tha gau ke than mein
ghoDon ka chhuTa tha ghas dana
tha pyas ka un pe taziyana
garmi ka laga hua tha bhabka
aur ans nikal raha tha sab ka
tufan the aandhiyon ke barpa
uThta tha bagule par bagula
aare the badan pe lu ke chalte
shoale the zamin se nikalte
thi aag ka de rahi hawa kaam
tha aag ka nam muft bad-nam
raston mein sawar aur paidal
sab dhup ke hath se the bekal
ghoDon ke na aage uThte the panw
milti thi kahin jo rukh ki chhanw
thi sab ki nigah su-e-aflak
pani ki jagah barasti thi KHak
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 24)
- Author : Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.