maiñ apne arsa-e-hastī kī DhūñDhtī thī asaas
tamām-umr bas ik aisī raushnī kī talāsh
ki jo nigāh ke dāman meñ
ho sake na asiir
mirī tabī.at-e-bechain kī rahī taqdīr
mirī talab kī virāsat
mirī jabīñ-sā.ī
ye abadiyat kā taqāzā
vo dasht-paimā.ī
tire huzūr magar ye bhī kārgar na huī
kahīñ fazāoñ meñ
chamaktī to thī vo barq-e-tapāñ
us ek lamhe mujhe jur.at-e-nazar na huī
main apne arsa-e-hasti ki DhunDhti thi asas
tamam-umr bas ek aisi raushni ki talash
ki jo nigah ke daman mein
ho sake na asir
meri tabiat-e-bechain ki rahi taqdir
meri talab ki wirasat
meri jabin-sai
ye abadiyat ka taqaza
wo dasht-paimai
tere huzur magar ye bhi kargar na hui
kahin fazaon mein
chamakti to thi wo barq-e-tapan
us ek lamhe mujhe jurat-e-nazar na hui
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 30)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.