Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barqi mohabbat

Nahid Akhtar Balooch

barqi mohabbat

Nahid Akhtar Balooch

MORE BYNahid Akhtar Balooch

    ga.e vaqtoñ meñ mohabbat

    dil pe likhī anmiT tahrīr hotī thī

    sunā hai patthar par lakīr hotī thī

    magar ab haath meñ thāme kisī

    barqī aale ke buttonoñ meñ uljhī hai

    uñglī aur añgūThe par ba-vaqt-e-zarūrat

    thiraktī rahtī hai

    barqī paiġhāmāt ke ḳhāne meñ paḌe

    chand be-libās fiqre

    mohabbat alāmat ban ga.e haiñ

    kisī purāne daur meñ

    mohabbat dil se nikālnā ek jokhim thā

    magar ab sunā hai ki

    is ke liye delete ke ka.ī

    option ījād ho chuke haiñ

    raat ke chor añdhere meñ

    koī raushan scrēn par

    apne lams se likhtā hai

    tumheñ chhū luuñ

    bas ab mohabbat

    rābte is sadī meñ

    āḳhirī sāñsoñ ke darmiyān

    ek hichkī pe aTkī huī hai

    ki ab mohabbat mahsūs karne se

    ziyāda chhū lene koshish hai

    gae waqton mein mohabbat

    dil pe likhi anmiT tahrir hoti thi

    suna hai patthar par lakir hoti thi

    magar ab hath mein thame kisi

    barqi aale ke buttonon mein uljhi hai

    ungli aur anguThe par ba-waqt-e-zarurat

    thirakti rahti hai

    barqi paighamat ke KHane mein paDe

    chand be-libas fiqre

    mohabbat ki alamat ban gae hain

    kisi purane daur mein

    mohabbat dil se nikalna ek jokhim tha

    magar ab suna hai ki

    is ke liye delete ke kai

    option ijad ho chuke hain

    raat ke chor andhere mein

    koi raushan screen par

    apne lams se likhta hai

    tumhein chhu lun

    bas ab mohabbat

    rabte ki is sadi mein

    aaKHiri sanson ke darmiyan

    ek hichki pe aTki hui hai

    ki ab mohabbat mahsus karne se

    ziyaada chhu lene ki koshish hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now