barsat aur shair
thā daraḳhtoñ ko abhī ālam-e-hairat aisā
jaise dilbar se yakāyak koī ho jaa.e do-chār
Dāliyāñ hilne lagīñ tez havā.eñ jo chalīñ
patte patte meñ nazar aane lagī taaza bahār
sansanāhaT huī jhoñkoñ se havā ke aisī
chhaT ga.ī huuñ kahīñ lākhoñ meñ havā.ī yakbār
ra.ad garjā are vo dekhnā bijlī chamkī
halkī halkī sī vo paḌne lagī būñdoñ kī phuvār
raat tārīk hai aayā hai umañD kar bādal
maiñ akelā na koī yaar na koī ġham-ḳhvār
sard jhoñkoñ meñ havā ke hai latāfat aur dil
is kā ḳhvāhāñ hai nahīñ milne ke jis ke āsār
aisī bechainī ḳhudāyā na ho dushman ko nasīb
is se bad-tar na kisī ko ho ilāhī āzār
tha daraKHton ko abhi aalam-e-hairat aisa
jaise dilbar se yakayak koi ho jae do-chaar
Daliyan hilne lagin tez hawaen jo chalin
patte patte mein nazar aane lagi taza bahaar
sansanahaT hui jhonkon se hawa ke aisi
chhaT gai hun kahin lakhon mein hawai yakbar
rad garja are wo dekhna bijli chamki
halki halki si wo paDne lagi bundon ki phuwar
raat tarik hai aaya hai umanD kar baadal
main akela na koi yar na koi gham-KHwar
sard jhonkon mein hawa ke hai latafat aur dil
is ka KHwahan hai nahin milne ke jis ke aasar
aisi bechaini KHudaya na ho dushman ko nasib
is se bad-tar na kisi ko ho ilahi aazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.