barsat
bādal garaj rahā hai bijlī chamak rahī hai
pur-kaif haiñ fazā.eñ har shai damak rahī hai
bād-e-ḳhunuk chaman meñ bal khā ke chal rahī hai
barg-e-hinā kī rañgat pahlū badal rahī hai
chehre pe yāsiyat ke nūr-e-shabāb chhāyā
maḳhmal kā sabz qālīñ fitrat ne yuuñ bichhāyā
māyūs har shajar ne badlā libās apnā
har murġh-e-ḳhush-navā ne chheḌā nayā tarānā
niklī sadā-e-bulbul koyal kī kuuk gūñjī
chiḌiyoñ kī chahchahāhaT lutf-e-hayāt laa.ī
tezī meñ aa ga.ī hai dariyāoñ kī ravānī
maidān khet bastī har samt paanī paanī
chashme ubal rahe haiñ nahreñ shabāb par haiñ
naġhmāt-e-naujavānī chañg-o-rubāb par haiñ
phūloñ se aur phaloñ se shāḳh-e-shajar ladī hai
ushshāq ke diloñ meñ uljhan sī paḌ ga.ī hai
sarsabz ho gayā hai vīrān saarā jañgal
jañgal meñ mach gayā hai har-sū ḳhushī kā mañgal
ḳhushbū-e-jāñ-fazā se har jānvar magan hai
un ke rag-e-amal meñ vo josh maujzan hai
in.ām-e-be-bahā hai qudrat kā ye nazārā
'sāhil' sukūn-e-dil hai fitrat kā ye nazārā
baadal garaj raha hai bijli chamak rahi hai
pur-kaif hain fazaen har shai damak rahi hai
baad-e-KHunuk chaman mein bal kha ke chal rahi hai
barg-e-hina ki rangat pahlu badal rahi hai
chehre pe yasiyat ke nur-e-shabab chhaya
maKHmal ka sabz qalin fitrat ne yun bichhaya
mayus har shajar ne badla libas apna
har murgh-e-KHush-nawa ne chheDa naya tarana
nikli sada-e-bulbul koyal ki kuk gunji
chiDiyon ki chahchahahaT lutf-e-hayat lai
tezi mein aa gai hai dariyaon ki rawani
maidan khet basti har samt pani pani
chashme ubal rahe hain nahren shabab par hain
naghmat-e-naujawani chang-o-rubab par hain
phulon se aur phalon se shaKH-e-shajar ladi hai
ushshaq ke dilon mein uljhan si paD gai hai
sarsabz ho gaya hai viran sara jangal
jangal mein mach gaya hai har-su KHushi ka mangal
KHushbu-e-jaan-faza se har jaanwar magan hai
un ke rag-e-amal mein wo josh maujzan hai
inam-e-be-baha hai qudrat ka ye nazara
'sahil' sukun-e-dil hai fitrat ka ye nazara
- Book : Tazgi (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.