barsat
bañdh ga.ī hai rahmat-e-haq se havā barsāt kī
naam khulne kā nahīñ letī ghaTā barsāt kī
ug rahā hai har taraf sabza dar-o-dīvār par
intihā garmī kī hai aur ibtidā barsāt kī
dekhnā sūkhī huī shāḳhoñ meñ bhī jaan aa ga.ī
haq meñ paudoñ ke masīhā hai havā barsāt kī
ḳhud-baḳhud taaza umangeñ josh par aane lagīñ
dil ko garmāne lagī ThanDī havā barsāt kī
vo duā.eñ mai-kashoñ kī aur vo lutf-e-intizār
haa.e kin nāzoñ se chaltī hai havā barastā kī
maiñ ye samjhā abr ke rangīn TukḌe dekh kar
taḳht pariyoñ ke uḌā laa.ī havā barsāt kī
naaz ho jis ko bahār-e-misr-o-shām-o-rūm par
sar-zamīn-e-hind meñ dekhe fazā barsāt kī
bandh gai hai rahmat-e-haq se hawa barsat ki
nam khulne ka nahin leti ghaTa barsat ki
ug raha hai har taraf sabza dar-o-diwar par
intiha garmi ki hai aur ibtida barsat ki
dekhna sukhi hui shaKHon mein bhi jaan aa gai
haq mein paudon ke masiha hai hawa barsat ki
KHud-baKHud taza umangen josh par aane lagin
dil ko garmane lagi ThanDi hawa barsat ki
wo duaen mai-kashon ki aur wo lutf-e-intizar
hae kin nazon se chalti hai hawa barasta ki
main ye samjha abr ke rangin TukDe dekh kar
taKHt pariyon ke uDa lai hawa barsat ki
naz ho jis ko bahaar-e-misr-o-sham-o-rum par
sar-zamin-e-hind mein dekhe faza barsat ki
- Tasvir-e-Manazil (Jild Avval)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.