barsat ki bahaaren
haiñ is havā meñ kyā kyā barsāt kī bahāreñ
sabzoñ kī lahlahāhaT bāġhāt kī bahāreñ
būñdoñ kī jhamjhamāvaT qatrāt kī bahāreñ
har baat ke tamāshe har ghaat kī bahāreñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
bādal havā ke uupar ho mast chhā rahe haiñ
jhaḌiyoñ kī mastiyoñ se dhūmeñ machā rahe haiñ
paḌte haiñ paanī har jā jal-thal banā rahe haiñ
gulzār bhīgte haiñ sabze nahā rahe haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
maare haiñ mauj Dābar dariyā dauñD rahe haiñ
mor-o-papīhe koyal kyā kyā rumañD rahe haiñ
jhaḌ kar rahī haiñ jhaḌiyāñ naale umañD rahe haiñ
barse hai muñh jhaḌā jhaḌ bādal ghumanD rahe haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jañgal sab apne tan par hariyālī saj rahe haiñ
gul phuul jhāḌ-būTe kar apnī dhaj rahe haiñ
bijlī chamak rahī hai bādal garaj rahe haiñ
allāh ke naqāre naubat ke baj rahe haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
bādal lagā Takoreñ naubat kī gat lagāveñ
jheñgur jhañgār apnī surnā.iyañ bajāveñ
kar shor mor bagule jhaḌiyoñ kā muñh bulāveñ
pī pī kareñ papīhe meñDak malāreñ gāveñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
har jā bichhā rahā hai sabza hare bichhaune
qudrat ke bichh rahe haiñ har jā hare bichhaune
jañgaloñ meñ ho rahe haiñ paidā hare bichhaune
bichhvā diye haiñ haq ne kyā kyā hare bichhaune
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
sabzoñ kī lahlahāhaT kuchh abr kī siyāhī
aur chhā rahī ghaTā.eñ surḳh aur safed kaahī
sab bhīgte haiñ ghar ghar le māh-tā-ba-māhī
ye rañg kaun rañge tere sivā ilāhī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kyā kyā rakhe haiñ yārab sāmān terī qudrat
badle hai rañg kyā kyā har aan terī qudrat
sab mast ho rahe pahchān terī qudrat
tītar pukārte haiñ sub.hān terī qudrat
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
koyal kī kuuk meñ bhī terā hī naam haigā
aur mor kī zaTal meñ terā payām haigā
ye rañg sau maze kā jo sub.h-o-shām haigā
ye aur kā nahīñ hai terā hī kaam haigā
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
bolīñ ba.e baTereñ qumrī pukāre kū-kū
pī pī kare papīhā bagule pukāreñ tū-tū
kyā hudhudoñ kī haq haq kyā fāḳhatoñ kī hū-hū
sab raT rahe haiñ tujh ko kyā pañkh kyā pakherū
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī māreñ
jo mast hoñ idhar ke kar shor nāchte haiñ
pyāre kā naam le kar kyā zor nāchte haiñ
bādal havā se kar kar ghanghor nāchte haiñ
meñDak uchhal rahe haiñ aur mor nāchte haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
phūloñ kī sej uupar sote haiñ kitne ban-ban
so haiñ gulābī joḌe phūloñ ke haar abran
kitnoñ ke ghar hai khānā sonā lage hai āñgan
kone meñ paḌ rahī haiñ sar muñh lapeT sogan
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jo ḳhush haiñ vo ḳhushī meñ kaaTe haiñ raat saarī
jo ġham meñ haiñ unhoñ par guzre hai raat bhārī
sīnoñ se lag rahī haiñ jo haiñ piyā kī pyārī
chhātī phaTe hai un kī jo haiñ birah kī maarī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jo vasl meñ haiñ un ke juuḌe mahak rahe haiñ
jhūloñ meñ jhūlte haiñ gahne jhamak rahe haiñ
jo dukh meñ haiñ so un ke siine phaḌak rahe haiñ
aaheñ nikal rahī haiñ aañsū Tapak rahe haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
ab birhanoñ ke uupar hai saḳht be-qarārī
har buuñd mārtī hai siine upar kaTārī
badlī kī dekh sūrat kahtī haiñ baarī baarī
hai hai na lī piyā ne ab ke bhī sudh hamārī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jab koyal apnī un ko āvāz hai sunātī
sunte hī ġham ko maare chhātī hai umñDī aatī
pī pī kī dhun ko sun kar be-kal haiñ kahtī jaatī
mat bol ai papīhe phaTtī hai merī chhātī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
hai jin kī sej suunī aur ḳhālī chārpā.ī
ro ro unhoñ ne har-dam ye baat hai sunā.ī
pardesī ne hamārī ab ke bhī sudh bhulā.ī
ab ke bhī chhāvnī jā pardes meñ hai chhā.ī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kitnoñ ne apnī ġham se ab hai ye gat banā.ī
maile kuchaile kapḌe āñkheñ bhī DabDabā.ī
ne ghar meñ jhūlā Daalā ne oḌhnī rañgā.ī
phūTā paḌā hai chūlhā TuuTī paḌī kaḌhā.ī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
gaatī hai giit koī jhūle pe kar ke pherā
maaro jī aaj kījiye yaañ rain kā baserā
hai ḳhush kisī ko aa kar hai dard-o-ġham ne gherā
muñh zard baal bikhre aur āñkhoñ meñ añdherā
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
aur jin ko ab muhayyā husnoñ kī Dheriyāñ haiñ
surḳh aur sunahre kapḌe ishrat kī gheriyāñ haiñ
mahbūb dilbaroñ kī zulfeñ bikheriyāñ haiñ
jugnū chamak rahe haiñ rāteñ añdheriyāñ haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kitne to bhañg pī pī kapḌe bhigo rahe haiñ
bāheñ guloñ meñ Daale jhūloñ meñ so rahe haiñ
kitne birah ke maare sudh apnī kho rahe haiñ
jhūle kī dekh sūrat har aan ro rahe haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
baiThe haiñ kitne ḳhush ho ūñche chhuā ke bangle
piite haiñ mai ke pyāle aur dekhte haiñ jañgle
kitne phire haiñ bāhar ḳhūbāñ ko apne sañg le
sab shaad ho rahe haiñ umda ġharīb kañgle
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kitnoñ ko mahloñ andar hai aish kā nazārā
yā sā.ebān suthrā yā baañs kā usārā
kartā hai sair koī koThe kā le sahārā
muflis bhī kar rahā hai pole tale guzārā
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
chhat girne kā kisī jā ġhul shor ho rahā hai
dīvār kā bhī dhaḌkā kuchh hosh kho rahā hai
dar dar havelī vaalā har aan ro rahā hai
muflis so jhopḌe meñ dil-shād so rahā hai
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
muddat se ho rahā hai jin kā makāñ purānā
uTh ke hai un ko meñh meñ har aan chhat pe jaanā
koī pukārtā hai Tuk morī khol aanā
koī kahe hai chal bhī kyuuñ ho gayā divānā
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
koī pukārtā hai lo ye makān Tapkā
girtī hai chhat kī miTTī aur sā.ebān Tapkā
chhalnī huī aTārī koThā nidān Tapkā
baaqī thā ik usārā so vo bhī aan Tapkā
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
ūñchā makān jis kā hai pach khanā sivāyā
uupar kā khan Tapak kar jab paanī nīche aayā
us ne to apne ghar meñ hai shor-ġhul machāyā
muflis pukārte haiñ jaane hamārā
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
sabzoñ pe biir bhūTī Tīloñ upar dhatūrē
pissū se machchharoñ se ro.e koī basore
bichchhū kisī ko kaaTe kiiḌā kisī ko ghūre
āñgan meñ kansalā.ī konoñ meñ khankhajūre
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
phuñsī kisī ke tan meñ sar par kisī ke phoḌe
chhātī ye garmī daane aur piiTh meñ daroḌe
khā pūriyāñ kisī ko haiñ lag rahe maroḌe
aate haiñ dast jaise dauḌeñ irāqī ghoḌe
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
patlī jahāñ kisī ne daal aur kaḌhī pakā.ī
makkhī ne vohīñ bolī aa uuñT kī bulā.ī
koī pukārtā hai kyuuñ ḳhair to hai bhaa.ī
aise jo khāñste ho kyā kaalī mirch khaa.ī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jis gul-badan ke tan meñ poshāk sausanī hai
so vo parī to ḳhāsī kālī-ghaTā banī hai
aur jis pe surḳh joḌā yā uudī oḌhnī hai
us par to sab ghulāvaT barsāt kī chhanī hai
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
badanoñ meñ khab rahe haiñ ḳhūboñ ke laal joḌe
jhamkeñ dikhā rahe haiñ pariyoñ ke laal joḌe
lahreñ banā rahe haiñ laḌkoñ ke laal joḌe
āñkhoñ meñ chubh rahe haiñ pyāroñ ke laal joḌe
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
aur jis sanam ke tan meñ joḌā hai zāfrānī
gulnār yā gulābī yā zard surḳh dhānī
kuchh husn kī chaḌhā.ī aur kuchh na.ī javānī
jhūloñ meñ jhūlte haiñ uupar paḌe hai paanī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
koī to jhūlne meñ jhūle kī Dor chhoḌe
yā sāthiyoñ meñ apne paañv se paañv joḌe
bādal khaḌe haiñ sar par barse haiñ thoḌe thoḌe
būñdoñ meñ bhīgte haiñ laal aur gulābī joḌe
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kitnoñ ko ho rahī hai us aish kī nishānī
sote haiñ saath jis ke kahtī hai vo siyānī
is vaqt tum na jaao ai mere yār-e-jānī
dekho to kis maze se barse hai aaj paanī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kitne sharāb pī kar ho mast chhak rahe haiñ
mai kī gulābī aage pyāle chhalak rahe haiñ
hotā hai naach ghar ghar ghuñghrū jhanak rahe haiñ
paḌtā hai meñh jhaḌā-jhaḌ table khaḌak rahe haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
haiñ jin ke tan mulā.em maide kī jaise loī
vo is havā meñ ḳhāsī oḌhe phire haiñ loī
aur jin kī muflisī ne sharm-o-hayā hai khoī
hai un ke sar pe sar kī yā boriye kī khoī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kitne phire haiñ oḌhe paanī meñ surḳh paTTū
jo dekh surḳh badlī hotī hai un pe laTTū
kitnoñ kī gaaḌī rath haiñ kitnoñ ke ghoḌe TaTTū
jis paas kuchh nahīñ hai vo ham sā hai nikhaTTū
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jo is havā meñ yaaro daulat meñ kuchh baḌhe haiñ
hai un ke sar pe chhatrī hāthī pe vo chaḌhe haiñ
ham se ġharīb ġhorabā kīchaḌ meñ gir paḌe haiñ
hāthoñ meñ jūtiyāñ haiñ aur pā.eñche chaḌhe haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
hai jin kane muhayyā pakkā pakāyā khānā
un ko palañg pe baiThe jhaḌiyoñ kā ḳhat uḌānā
hai jin ko apne ghar meñ yaañ lon tel laanā
hai sar pe un ke pañkhā yā chhāj hai purānā
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kitne ḳhushī se baiThe khāte haiñ ḳhush mahal meñ
kitne chale haiñ lene baniye se qarz pal meñ
kāñdhe pe daal aaTā haldī girah ne mal meñ
hāthoñ meñ ghī kī pyālī aur lakḌiyāñ baġhal meñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jo kasbiyāñ javāneñ husnoñ meñ purtiyāñ haiñ
sīnoñ meñ laal añgiyāñ aur laal kurtiyāñ haiñ
nazreñ bhī badliyāñ haiñ dil meñ bhī surtiyāñ haiñ
ik ik nigah meñ kāfir bijlī kī phurtiyāñ haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jo naujavāñ haiñ un kī tayyāriyāñ baḌī haiñ
hāthoñ meñ laal chhaḌiyāñ koThoñ pe vo khaḌī haiñ
aur vo jo āshnā se jhagḌī haiñ yā laḌī haiñ
muñh ko chhupā palañg par machlī huī paḌī haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
koī apne āshnā se kar naaz kā jhapaTTā
kahtī hai hañs ke kāfir chuTkī le yā nihaTTā
tum se to dil hamārā ab ho gayā hai khaTTā
tum aaj bhī na laa.e rañvā mirā dupaTTā
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kahtī haiñ koī mujh ko joḌā sohā banā do
yā TaaT baafī juutā yā kafsh-e-surḳh lā do
koī kahe hai merī kurtī abhī rañgā do
yā garm se andarse ik sair bhar mañgā do
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jo un ke mubtalā haiñ sab chiiz lā rahe haiñ
kurtī banā rahe haiñ añgiyā rañgā rahe haiñ
jo jo haiñ un kī bāteñ sab kuchh uThā rahe haiñ
bāheñ gale meñ Daale ishrat manā rahe haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kitnoñ ne qaul bāñdhā ma.amūlī de ke paise
kahte haiñ shaad ho kar yuuñ apne āshnā se
barsāt-bhar to mil ke sunte ho jaan pyāre
ahmaq ho jo palañg se ab mūtne ko utre
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
ye sun ke un se hañs hañs kahtī hai shoḳh ranDī
ma.amūlī ab to le kar bandī bhī hai ghamanDī
ham pahneñ laal joḌā tum pahno ḳhāsī bañDī
ḳhandī ho jo tumhārī chhātī kare na ThanDī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
zardār kī to un meñ hai bichh rahī palañgaḌī
dilbar parī sī baiThī jhamkā.e chūḌī nibagaḌī
muflis kī TuuTī paTTī yā TaaT kī jhalañgaḌī
ranDī milī to kaalī yā kunjī luulī lañgḌī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kurtī gulābī jin meñ goTe lage hue haiñ
añgiyāñ ke gard jhūTe goTe Take hue haiñ
kahtī haiñ un se hans hans jo jo kaTe hue haiñ
lā ab to mere tujh par bārah Take hue haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jo begamī hai ghar meñ ārām kar rahī hai
pardoñ meñ dostoñ se paiġhām kar rahī hai
chitvan lāvaToñ se sau daam kar rahī hai
chupke hī chupke apnā sab kaam kar rahī hai
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kahtā hai koī apne mahbūb sīm-bar se
vo is meñh meñ na jaao pyāre hamāre barse
koī kahe hai apne dildār-e-ḳhush-nazar se
hāthoñ se mere jaanī khā le ye do andarse
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kahtā hai koī pyārī jo kuchh kaho sau lā deñ
zar-dozī TāT-bāfī juutā kaho pahnā deñ
peḌā jalebī laDDū jo khaao so mañgā deñ
chīrā dupaTTa jaama jaisā kaho rañgā deñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jin dilbaroñ ke tan par haiñ garmī daane aale
kahte haiñ un ko āshiq yuuñ pyaar se bulā le
kyā meñh baras rahā hai pyāre zarā nahā le
chhātī nahīñ to pyāre Tuk piiTh hī milā le
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
is rut meñ haiñ jahāñ tak gulzār bhīgte haiñ
shahr-o-dayār kūche bāzār bhīgte haiñ
sahra-o-jhāḌ buuTe kohsār bhīgte haiñ
āshiq nahā rahe haiñ dildār bhīgte haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kahtī hai jab vo sun kar ye baat bhiig ahmaq
mārūñgī tere aa kar ik laat bhiig ahmaq
mujh ko bhī zid chaḌhī hai din-rāt bhiig ahmaq
yūñhī to ab ke saarī barsāt bhiig ahmaq
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
zardār kī to sun kar āvāz vo parī-rū
kahtī hai launDiyoñ se jaldī kivāḌ kholo
muflis koī pukāre to is se kahtī hai vo
hargiz koī na bolo ahmaq ko bhīgne do
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
koī yaar se kahe hai ai dil-sitān aao
badlī baḌī uThī hai kahne ko maan aao
kyā meñh baras rahā hai har ik makān aao
rāteñ añdheriyāñ haiñ ai merī jaan aao
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
koī raat ko pukāre pyāre maiñ bhīgtī huuñ
kyā terī ulfatoñ ke maare maiñ bhīgtī huuñ
aa.ī huuñ terī ḳhātir aa re maiñ bhīgtī huuñ
kuchh to taras tū miirā khā re maiñ bhīgtī huuñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
koī pukārtī hai dil saḳht bhīgtī huuñ
kāñpe hai merī chhātī yak-laḳht bhīgtī huuñ
kapḌe bhī tar-ba-tar haiñ aur saḳht bhīgtī huuñ
jaldī bulā le mujh ko kambaḳht bhīgtī huuñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
shīsha kahīñ gulābī botal jhamak rahī hai
rābīl motiyā kī ḳhushbū mahak rahī hai
chhātī se chhātī lag kar ishrat chhalak rahī hai
paa.e khaTak rahe haiñ paTTī chaTak rahī hai
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
koī pukārtī hai kyā kyā mujhe bhigoyā
koī pukārtī hai kaisā mujhe bhigoyā
nāhaq qarār kar ke jhūTā mujhe bhigoyā
yuuñ duur se bulā kar achchhā mujhe bhigoyā
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
jin dilbaroñ kī ḳhātir bhīge haiñ jin ke joḌe
vo dekh un kī ulfat hote haiñ thoḌe thoḌe
le un ke bhīge kapḌe hāthoñ meñ dhar nichoḌe
chīrā koī suñgāve jaama koī nichoḌe
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kīchaḌ se ho rahī hai jis jā zamīñ phisalnī
mushkil huī hai vaañ se har ik ko raah chalnī
phislā jo paañv pagḌī mushkil hai phir sambhalnī
jotī girī to vaañ se kyā taab phir niklī
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kitne to कीचड़ों kī daldal meñ phañs rahe haiñ
kapḌe tamām gandī daldal meñ bas rahe haiñ
kitne uThe haiñ marmar kitne ukas rahe haiñ
vo dukh meñ phañs rahe haiñ aur log hañs rahe haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
kahtā hai koī gir kar ye ai ḳhudā.e liijo
koī Dagmagā ke har-dam kahtā hai vaa.e liijo
koī haath uThā pukāre mujh ko bhī haa.e liijo
koī shor kar pukāre girne na paa.e liijo
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
gir kar kisī ke kapḌe daldal meñ haiñ mo.attar
phislā koī kisī kā kīchaḌ meñ muñh gayā bhar
ik do nahīñ phisalte kuchh is meñ aan aksar
hote haiñ saikḌoñ ke sar nīche paañv uupar
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
ye rut vo hai ki jis meñ ḳhurd-o-kabīr ḳhush haiñ
adnā ġharīb muflis shāh-o-vazīr ḳhush haiñ
ma.ashūq shād-o-ḳhurram āshiq asiir ḳhush haiñ
jitne haiñ ab jahāñ meñ sab ai 'nazīr' ḳhush haiñ
kyā kyā machī haiñ yaaro barsāt kī bahāreñ
hain is hawa mein kya kya barsat ki bahaaren
sabzon ki lahlahahaT baghat ki bahaaren
bundon ki jhamjhamawaT qatraat ki bahaaren
har baat ke tamashe har ghat ki bahaaren
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
baadal hawa ke upar ho mast chha rahe hain
jhaDiyon ki mastiyon se dhumen macha rahe hain
paDte hain pani har ja jal-thal bana rahe hain
gulzar bhigte hain sabze naha rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
mare hain mauj Dabar dariya daunD rahe hain
mor-o-papihe koyal kya kya rumanD rahe hain
jhaD kar rahi hain jhaDiyan nale umanD rahe hain
barse hai munh jhaDa jhaD baadal ghumanD rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jangal sab apne tan par hariyali saj rahe hain
gul phul jhaD-buTe kar apni dhaj rahe hain
bijli chamak rahi hai baadal garaj rahe hain
allah ke naqare naubat ke baj rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
baadal laga Takoren naubat ki gat lagawen
jhengur jhangar apni surnaiyan bajawen
kar shor mor bagule jhaDiyon ka munh bulawen
pi pi karen papihe meinDak malaren gawen
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
har ja bichha raha hai sabza hare bichhaune
qudrat ke bichh rahe hain har ja hare bichhaune
jangalon mein ho rahe hain paida hare bichhaune
bichhwa diye hain haq ne kya kya hare bichhaune
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
sabzon ki lahlahahaT kuchh abr ki siyahi
aur chha rahi ghaTaen surKH aur safed kahi
sab bhigte hain ghar ghar le mah-ta-ba-mahi
ye rang kaun range tere siwa ilahi
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kya kya rakhe hain yarab saman teri qudrat
badle hai rang kya kya har aan teri qudrat
sab mast ho rahe pahchan teri qudrat
titar pukarte hain subhan teri qudrat
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koyal ki kuk mein bhi tera hi nam haiga
aur mor ki zaTal mein tera payam haiga
ye rang sau maze ka jo subh-o-sham haiga
ye aur ka nahin hai tera hi kaam haiga
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
bolin bae baTeren qumri pukare ku-ku
pi pi kare papiha bagule pukaren tu-tu
kya hudhudon ki haq haq kya faKHaton ki hu-hu
sab raT rahe hain tujh ko kya pankh kya pakheru
kya kya machi hain yaro barsat ki maren
jo mast hon idhar ke kar shor nachte hain
pyare ka nam le kar kya zor nachte hain
baadal hawa se kar kar ghanghor nachte hain
meinDak uchhal rahe hain aur mor nachte hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
phulon ki sej upar sote hain kitne ban-ban
so hain gulabi joDe phulon ke haar abran
kitnon ke ghar hai khana sona lage hai aangan
kone mein paD rahi hain sar munh lapeT sogan
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo KHush hain wo KHushi mein kaTe hain raat sari
jo gham mein hain unhon par guzre hai raat bhaari
sinon se lag rahi hain jo hain piya ki pyari
chhati phaTe hai un ki jo hain birah ki mari
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo wasl mein hain un ke juDe mahak rahe hain
jhulon mein jhulte hain gahne jhamak rahe hain
jo dukh mein hain so un ke sine phaDak rahe hain
aahen nikal rahi hain aansu Tapak rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
ab birhanon ke upar hai saKHt be-qarari
har bund marti hai sine upar kaTari
badli ki dekh surat kahti hain bari bari
hai hai na li piya ne ab ke bhi sudh hamari
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jab koyal apni un ko aawaz hai sunati
sunte hi gham ko mare chhati hai umnDi aati
pi pi ki dhun ko sun kar be-kal hain kahti jati
mat bol ai papihe phaTti hai meri chhati
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
hai jin ki sej suni aur KHali chaarpai
ro ro unhon ne har-dam ye baat hai sunai
pardesi ne hamari ab ke bhi sudh bhulai
ab ke bhi chhawni ja pardes mein hai chhai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitnon ne apni gham se ab hai ye gat banai
maile kuchaile kapDe aankhen bhi DabDabai
ne ghar mein jhula Dala ne oDhni rangai
phuTa paDa hai chulha TuTi paDi kaDhai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
gati hai git koi jhule pe kar ke phera
maro ji aaj kijiye yan rain ka basera
hai KHush kisi ko aa kar hai dard-o-gham ne ghera
munh zard baal bikhre aur aankhon mein andhera
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
aur jin ko ab muhayya husnon ki Dheriyan hain
surKH aur sunahre kapDe ishrat ki gheriyan hain
mahbub dilbaron ki zulfen bikheriyan hain
jugnu chamak rahe hain raaten andheriyan hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne to bhang pi pi kapDe bhigo rahe hain
bahen gulon mein Dale jhulon mein so rahe hain
kitne birah ke mare sudh apni kho rahe hain
jhule ki dekh surat har aan ro rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
baiThe hain kitne KHush ho unche chhua ke bangle
pite hain mai ke pyale aur dekhte hain jangle
kitne phire hain bahar KHuban ko apne sang le
sab shad ho rahe hain umda gharib kangle
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitnon ko mahlon andar hai aish ka nazara
ya saeban suthra ya bans ka usara
karta hai sair koi koThe ka le sahaara
muflis bhi kar raha hai pole tale guzara
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
chhat girne ka kisi ja ghul shor ho raha hai
diwar ka bhi dhaDka kuchh hosh kho raha hai
dar dar haweli wala har aan ro raha hai
muflis so jhopDe mein dil-shad so raha hai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
muddat se ho raha hai jin ka makan purana
uTh ke hai un ko meinh mein har aan chhat pe jaana
koi pukarta hai Tuk mori khol aana
koi kahe hai chal bhi kyun ho gaya diwana
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi pukarta hai lo ye makan Tapka
girti hai chhat ki miTTi aur saeban Tapka
chhalni hui aTari koTha nidan Tapka
baqi tha ek usara so wo bhi aan Tapka
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
uncha makan jis ka hai pach khana siwaya
upar ka khan Tapak kar jab pani niche aaya
us ne to apne ghar mein hai shor-ghul machaya
muflis pukarte hain jaane hamara
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
sabzon pe bir bhuTi Tilon upar dhaturee
pissu se machchharon se roe koi basore
bichchhu kisi ko kaTe kiDa kisi ko ghure
aangan mein kansalai konon mein khankhajure
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
phunsi kisi ke tan mein sar par kisi ke phoDe
chhati ye garmi dane aur piTh mein daroDe
kha puriyan kisi ko hain lag rahe maroDe
aate hain dast jaise dauDen iraqi ghoDe
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
patli jahan kisi ne dal aur kaDhi pakai
makkhi ne wohin boli aa unT ki bulai
koi pukarta hai kyun KHair to hai bhai
aise jo khanste ho kya kali mirch khai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jis gul-badan ke tan mein poshak sausani hai
so wo pari to KHasi kali-ghaTa bani hai
aur jis pe surKH joDa ya udi oDhni hai
us par to sab ghulawaT barsat ki chhani hai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
badanon mein khab rahe hain KHubon ke lal joDe
jhamken dikha rahe hain pariyon ke lal joDe
lahren bana rahe hain laDkon ke lal joDe
aankhon mein chubh rahe hain pyaron ke lal joDe
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
aur jis sanam ke tan mein joDa hai zafrani
gulnar ya gulabi ya zard surKH dhani
kuchh husn ki chaDhai aur kuchh nai jawani
jhulon mein jhulte hain upar paDe hai pani
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi to jhulne mein jhule ki Dor chhoDe
ya sathiyon mein apne panw se panw joDe
baadal khaDe hain sar par barse hain thoDe thoDe
bundon mein bhigte hain lal aur gulabi joDe
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitnon ko ho rahi hai us aish ki nishani
sote hain sath jis ke kahti hai wo siyani
is waqt tum na jao ai mere yar-e-jaani
dekho to kis maze se barse hai aaj pani
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne sharab pi kar ho mast chhak rahe hain
mai ki gulabi aage pyale chhalak rahe hain
hota hai nach ghar ghar ghunghru jhanak rahe hain
paDta hai meinh jhaDa-jhaD table khaDak rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
hain jin ke tan mulaem maide ki jaise loi
wo is hawa mein KHasi oDhe phire hain loi
aur jin ki muflisi ne sharm-o-haya hai khoi
hai un ke sar pe sar ki ya boriye ki khoi
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne phire hain oDhe pani mein surKH paTTu
jo dekh surKH badli hoti hai un pe laTTu
kitnon ki gaDi rath hain kitnon ke ghoDe TaTTu
jis pas kuchh nahin hai wo hum sa hai nikhaTTu
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo is hawa mein yaro daulat mein kuchh baDhe hain
hai un ke sar pe chhatri hathi pe wo chaDhe hain
hum se gharib ghoraba kichaD mein gir paDe hain
hathon mein jutiyan hain aur paenche chaDhe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
hai jin kane muhayya pakka pakaya khana
un ko palang pe baiThe jhaDiyon ka KHat uDana
hai jin ko apne ghar mein yan lon tel lana
hai sar pe un ke pankha ya chhaj hai purana
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne KHushi se baiThe khate hain KHush mahal mein
kitne chale hain lene baniye se qarz pal mein
kandhe pe dal aaTa haldi girah ne mal mein
hathon mein ghi ki pyali aur lakDiyan baghal mein
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo kasbiyan jawanen husnon mein purtiyan hain
sinon mein lal angiyan aur lal kurtiyan hain
nazren bhi badliyan hain dil mein bhi surtiyan hain
ek ek nigah mein kafir bijli ki phurtiyan hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo naujawan hain un ki tayyariyan baDi hain
hathon mein lal chhaDiyan koThon pe wo khaDi hain
aur wo jo aashna se jhagDi hain ya laDi hain
munh ko chhupa palang par machli hui paDi hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi apne aashna se kar naz ka jhapaTTa
kahti hai hans ke kafir chuTki le ya nihaTTa
tum se to dil hamara ab ho gaya hai khaTTa
tum aaj bhi na lae ranwa mera dupaTTa
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahti hain koi mujh ko joDa soha bana do
ya TaT bafi juta ya kafsh-e-surKH la do
koi kahe hai meri kurti abhi ranga do
ya garm se andarse ek sair bhar manga do
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo un ke mubtala hain sab chiz la rahe hain
kurti bana rahe hain angiya ranga rahe hain
jo jo hain un ki baaten sab kuchh uTha rahe hain
bahen gale mein Dale ishrat mana rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitnon ne qaul bandha mamuli de ke paise
kahte hain shad ho kar yun apne aashna se
barsat-bhar to mil ke sunte ho jaan pyare
ahmaq ho jo palang se ab mutne ko utre
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
ye sun ke un se hans hans kahti hai shoKH ranDi
mamuli ab to le kar bandi bhi hai ghamanDi
hum pahnen lal joDa tum pahno KHasi banDi
KHandi ho jo tumhaari chhati kare na ThanDi
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
zardar ki to un mein hai bichh rahi palangaDi
dilbar pari si baiThi jhamkae chuDi nibagaDi
muflis ki TuTi paTTi ya TaT ki jhalangaDi
ranDi mili to kali ya kunji luli langDi
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kurti gulabi jin mein goTe lage hue hain
angiyan ke gard jhuTe goTe Take hue hain
kahti hain un se hans hans jo jo kaTe hue hain
la ab to mere tujh par barah Take hue hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jo begami hai ghar mein aaram kar rahi hai
pardon mein doston se paigham kar rahi hai
chitwan lawaTon se sau dam kar rahi hai
chupke hi chupke apna sab kaam kar rahi hai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahta hai koi apne mahbub sim-bar se
wo is meinh mein na jao pyare hamare barse
koi kahe hai apne dildar-e-KHush-nazar se
hathon se mere jaani kha le ye do andarse
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahta hai koi pyari jo kuchh kaho sau la den
zar-dozi TaT-bafi juta kaho pahna den
peDa jalebi laDDu jo khao so manga den
chira dupaTTa jama jaisa kaho ranga den
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jin dilbaron ke tan par hain garmi dane aale
kahte hain un ko aashiq yun pyar se bula le
kya meinh baras raha hai pyare zara naha le
chhati nahin to pyare Tuk piTh hi mila le
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
is rut mein hain jahan tak gulzar bhigte hain
shahr-o-dayar kuche bazar bhigte hain
sahra-o-jhaD buTe kohsar bhigte hain
aashiq naha rahe hain dildar bhigte hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahti hai jab wo sun kar ye baat bhig ahmaq
marungi tere aa kar ek lat bhig ahmaq
mujh ko bhi zid chaDhi hai din-raat bhig ahmaq
yunhi to ab ke sari barsat bhig ahmaq
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
zardar ki to sun kar aawaz wo pari-ru
kahti hai launDiyon se jaldi kiwaD kholo
muflis koi pukare to is se kahti hai wo
hargiz koi na bolo ahmaq ko bhigne do
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi yar se kahe hai ai dil-sitan aao
badli baDi uThi hai kahne ko man aao
kya meinh baras raha hai har ek makan aao
raaten andheriyan hain ai meri jaan aao
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi raat ko pukare pyare main bhigti hun
kya teri ulfaton ke mare main bhigti hun
aai hun teri KHatir aa re main bhigti hun
kuchh to taras tu mera kha re main bhigti hun
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi pukarti hai dil saKHt bhigti hun
kanpe hai meri chhati yak-laKHt bhigti hun
kapDe bhi tar-ba-tar hain aur saKHt bhigti hun
jaldi bula le mujh ko kambaKHt bhigti hun
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
shisha kahin gulabi botal jhamak rahi hai
rabil motiya ki KHushbu mahak rahi hai
chhati se chhati lag kar ishrat chhalak rahi hai
pae khaTak rahe hain paTTi chaTak rahi hai
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
koi pukarti hai kya kya mujhe bhigoya
koi pukarti hai kaisa mujhe bhigoya
nahaq qarar kar ke jhuTa mujhe bhigoya
yun dur se bula kar achchha mujhe bhigoya
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
jin dilbaron ki KHatir bhige hain jin ke joDe
wo dekh un ki ulfat hote hain thoDe thoDe
le un ke bhige kapDe hathon mein dhar nichoDe
chira koi sungawe jama koi nichoDe
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kichaD se ho rahi hai jis ja zamin phisalni
mushkil hui hai wan se har ek ko rah chalni
phisla jo panw pagDi mushkil hai phir sambhalni
joti giri to wan se kya tab phir nikli
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kitne to कीचड़ों ki daldal mein phans rahe hain
kapDe tamam gandi daldal mein bas rahe hain
kitne uThe hain marmar kitne ukas rahe hain
wo dukh mein phans rahe hain aur log hans rahe hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
kahta hai koi gir kar ye ai KHudae lijo
koi Dagmaga ke har-dam kahta hai wae lijo
koi hath uTha pukare mujh ko bhi hae lijo
koi shor kar pukare girne na pae lijo
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
gir kar kisi ke kapDe daldal mein hain moattar
phisla koi kisi ka kichaD mein munh gaya bhar
ek do nahin phisalte kuchh is mein aan aksar
hote hain saikDon ke sar niche panw upar
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
ye rut wo hai ki jis mein KHurd-o-kabir KHush hain
adna gharib muflis shah-o-wazir KHush hain
mashuq shad-o-KHurram aashiq asir KHush hain
jitne hain ab jahan mein sab ai 'nazir' KHush hain
kya kya machi hain yaro barsat ki bahaaren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.