barsat ki ek raat
ye barsāt ye mausam-e-shādmānī
ḳhas-o-ḳhār par phaT paḌī hai javānī
bhaḌaktā hai rah rah ke soz-e-mohabbat
jhamā-jham barastā hai pur-shor paanī
fazā jhūmtī hai ghaTā jhūmtī hai
daraḳhtoñ ko zau barq kī chūmtī hai
thirakte hue abr kā jazb tauba
ki dāman uThā.e zamīñ ghūmtī hai
kaḌaktī hai bijlī chamaktī haiñ būñdeñ
lapaktā hai kauñdā damaktī haiñ būñdeñ
rag-e-jāñ pe rah rah ke lagtī haiñ choTeñ
chhamā-chham ḳhalā meñ khanaktī haiñ būñdeñ
falak gā rahā hai zamīñ gā rahī hai
kaleje meñ har lai chubhī jā rahī hai
mujhe pā ke is mast shab meñ akelā
ye rañgīñ ghaTā tiir barsā rahī hai
chamaktā hai bujhtā hai tharrā rahā hai
bhaTakne kī jugnū sazā pā rahā hai
abhī zehn meñ thā ye raushan taḳhayyul
fazā meñ jo uḌtā chalā jā rahā hai
lachak kar sambhalte haiñ jab abr-pāre
baraste haiñ dāman se dum-dār taare
machaltī hai rah rah ke bāloñ meñ bijlī
gulābī hue jā rahe haiñ kināre
fazā jhuum kar rañg barsā rahī hai
har ik saañs sho.ala banī jā rahī hai
kabhī is tarah yaad aatī nahīñ thī
vo jis tarah is vaqt yaad aa rahī hai
bhalā lutf kyā manzar-e-pur-asar de
ki ashkoñ ne āñkhoñ pe Daale haiñ parde
kahīñ aur jā kar baras mast bādal
ḳhudā terā dāman javāhir se bhar de
ye barsat ye mausam-e-shadmani
KHas-o-KHar par phaT paDi hai jawani
bhaDakta hai rah rah ke soz-e-mohabbat
jhama-jham barasta hai pur-shor pani
faza jhumti hai ghaTa jhumti hai
daraKHton ko zau barq ki chumti hai
thirakte hue abr ka jazb tauba
ki daman uThae zamin ghumti hai
kaDakti hai bijli chamakti hain bunden
lapakta hai kaunda damakti hain bunden
rag-e-jaan pe rah rah ke lagti hain choTen
chhama-chham KHala mein khanakti hain bunden
falak ga raha hai zamin ga rahi hai
kaleje mein har lai chubhi ja rahi hai
mujhe pa ke is mast shab mein akela
ye rangin ghaTa tir barsa rahi hai
chamakta hai bujhta hai tharra raha hai
bhaTakne ki jugnu saza pa raha hai
abhi zehn mein tha ye raushan taKHayyul
faza mein jo uDta chala ja raha hai
lachak kar sambhalte hain jab abr-pare
baraste hain daman se dum-dar tare
machalti hai rah rah ke baalon mein bijli
gulabi hue ja rahe hain kinare
faza jhum kar rang barsa rahi hai
har ek sans shoala bani ja rahi hai
kabhi is tarah yaad aati nahin thi
wo jis tarah is waqt yaad aa rahi hai
bhala lutf kya manzar-e-pur-asar de
ki ashkon ne aankhon pe Dale hain parde
kahin aur ja kar baras mast baadal
KHuda tera daman jawahir se bhar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.