bas bhai suraj
āñkheñ jab chamkāte ho
jaan ko bas aa jaate ho
kaliyoñ ko bhī murjhāte ho
kitne gande ban jaate ho
bas bha.ī sūraj bas
kuttā kaisā kaañp rahā hai
zabāñ nikāle haañp rahā hai
kone meñ ḳhud ko Dhāñp rahā hai
us ko kitnā satāte ho
bas bha.ī sūraj bas
sar ko jhukā.e chiḌiyāñ saarī
dhuup kī maarī Dar kī maarī
chupkī baiThīñ sab be-chārī
chiḌiyoñ ko dhamkāte ho
bas bha.ī sūraj bas
bādal chhā.e meñDak bole
aam kī Daalī rim-jhim Dole
duniyā saarī āñkheñ khole
ab ghar kyuuñ nahīñ jaate ho
bas bha.ī sūraj
aankhen jab chamkate ho
jaan ko bas aa jate ho
kaliyon ko bhi murjhate ho
kitne gande ban jate ho
bas bhai suraj bas
kutta kaisa kanp raha hai
zaban nikale hanp raha hai
kone mein KHud ko Dhanp raha hai
us ko kitna satate ho
bas bhai suraj bas
sar ko jhukae chiDiyan sari
dhup ki mari Dar ki mari
chupki baiThin sab be-chaari
chiDiyon ko dhamkate ho
bas bhai suraj bas
baadal chhae meinDak bole
aam ki Dali rim-jhim Dole
duniya sari aankhen khole
ab ghar kyun nahin jate ho
bas bhai suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.