bas ek tere aa jaane se
jaise sūkhā tālāb
bhar jaa.e labālab
aur us meñ khil jaa.eñ
kamal ke phuul
un par nācheñ gaa.eñ jhūmeñ
titliyāñ bhauñreñ madhumakkhiyāñ
panchhī sab
aur phir ye sab dekh kar
tālāb kā havā ke saath
jhūmnā lahrānā aur
Duub jaanā ḳhud kī
ḳhushiyoñ meñ
mujh ko bhī aisā ho jaanā hai
bas ek tere aa jaane se
jaise sukha talab
bhar jae labaalab
aur us mein khil jaen
kamal ke phul
un par nachen gaen jhumen
titliyan bhaunren madhumakkhiyan
panchhi sab
aur phir ye sab dekh kar
talab ka hawa ke sath
jhumna lahrana aur
Dub jaana KHud ki
KHushiyon mein
mujh ko bhi aisa ho jaana hai
bas ek tere aa jaane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.