Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas

MORE BYKaleem Aajiz

    ga.e leTne raat Dhalte hue

    uThe sub.h ko aañkh malte hue

    nahā dho ke kapḌe badalte hue

    uThā.ī kitāb aur chalte hue

    savere jab tak ki schōl hai

    yahī apnā har roz ma.amūl hai

    khaḌe haiñ saḌak par ki ab aa.ī bas

    guzartā hai ik ik minute ik baras

    bas aa.ī to rush is qadar pesh-o-pas

    ki allāh bas aur baaqī havas

    baḌhe ham bhī chaḌhne ko jab sab ke saath

    to handle pe thā paañv pedal pe haath

    passenger vo bhiiḌ vo bas gate

    guzarte haiñ machchhar jahāñ par sameT

    koī ho gayā choT khā kar flat

    kisī hai kohnī kisī hai peT

    khaḌe hoñ kahāñ paañv rakkheñ kidhar

    añdherā idhar hai añdherā udhar

    magar hukm checker hai aa.iye

    khaḌe kyoñ haiñ aage baḌhe jā.iye

    jahāñ meñ jahāñ tak jagah pā.iye

    khisakte khisakte chale jā.iye

    sitāroñ se aage jahāñ aur haiñ

    zamīñ aur haiñ āsmāñ aur haiñ

    gae leTne raat Dhalte hue

    uThe subh ko aankh malte hue

    naha dho ke kapDe badalte hue

    uThai kitab aur chalte hue

    sawere ka jab tak ki school hai

    yahi apna har roz mamul hai

    khaDe hain saDak par ki ab aai bas

    guzarta hai ek ek minute ek baras

    bas aai to rush is qadar pesh-o-pas

    ki allah bas aur baqi hawas

    baDhe hum bhi chaDhne ko jab sab ke sath

    to handle pe tha panw pedal pe hath

    passenger ki wo bhiD wo bas ka gate

    guzarte hain machchhar jahan par sameT

    koi ho gaya choT kha kar flat

    kisi ki hai kohni kisi ka hai peT

    khaDe hon kahan panw rakkhen kidhar

    andhera idhar hai andhera udhar

    magar hukm checker ka hai aaiye

    khaDe kyon hain aage baDhe jaiye

    jahan mein jahan tak jagah paiye

    khisakte khisakte chale jaiye

    sitaron se aage jahan aur hain

    zamin aur hain aasman aur hain

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now