basarat
tere hāthoñ meñ paivast
meḳhoñ se bahtā lahū
kor āñkhoñ pe chhiḌkā
to palkoñ kī chilman se
tā-hadd-e-imkāñ
basārat ke har zāviye par
ajab nuur kī dhāriyāñ
tah-ba-tah tīrgī kī ravā chīrtī
an-ginat mish.aleñ
āgahī ke darīchoñ meñ
irfān ke ā.īnoñ meñ
damakne lagīñ
tere hathon mein paiwast
meKHon se bahta lahu
kor aankhon pe chhiDka
to palkon ki chilman se
ta-hadd-e-imkan
basarat ke har zawiye par
ajab nur ki dhaariyan
tah-ba-tah tirgi ki rawa chirti
an-ginat mishalen
aagahi ke darichon mein
irfan ke aainon mein
damakne lagin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.