basant
aalī aa.ī basant bahār
rang rang ke phuul khile haiñ
muskāte kaliyoñ se mile haiñ
prem kī madirā pī pāgal ho
bhañvar kareñ ganjār
aalī aa.ī basant bahār
samay suhānā man ko bhaa.e
shobhā ban kī kahī na jaa.e
aaj sajī bāġhoñ kī raanī
kar sundar shringār
aalī aa.ī basant bahār
shītal pavan chale iThlātī
madmātī be-ḳhud sī banātī
har jhoñke se hilātī jaa.e
man biinā ke taar
aalī aa.ī basant bahār
qudrat ne kyā saaj sajāyā
dekh aaj sajnī hai aayā
sundartā aur komaltā par
joban ruup nikhār
aalī aa.ī basant bahār
koyal jis dam kuuk sunā.e
hook uThe man chain na paa.e
aag lage armānoñ meñ jab
papihā karat pukār
aalī aa.ī basant bahār
ritū kis kā karne ko aadar
aa.ī oḌh basantī chādar
prem umang javānī le kar
dene ko up.hār
aalī aa.ī basant bahār
aa.ī basant nahīñ pī aa.e
un bin kaise jī kal paa.e
sab phīkā jab paas nahīñ haiñ
pirītam praan ādhār
aalī aa.ī basant bahār
aali aai basant bahaar
rang rang ke phul khile hain
muskate kaliyon se mile hain
prem ki madira pi pagal ho
bhanwar karen ganjar
aali aai basant bahaar
samay suhana man ko bhae
shobha ban ki kahi na jae
aaj saji baghon ki rani
kar sundar shringar
aali aai basant bahaar
shital pawan chale iThlati
madmati be-KHud si banati
har jhonke se hilati jae
man bina ke tar
aali aai basant bahaar
qudrat ne kya saj sajaya
dekh aaj sajni hai aaya
sundarta aur komalta par
joban rup nikhaar
aali aai basant bahaar
koyal jis dam kuk sunae
hook uThe man chain na pae
aag lage armanon mein jab
papiha karat pukar
aali aai basant bahaar
ritu kis ka karne ko aadar
aai oDh basanti chadar
prem umang jawani le kar
dene ko uphaar
aali aai basant bahaar
aai basant nahin pi aae
un bin kaise ji kal pae
sab phika jab pas nahin hain
piritam pran aadhaar
aali aai basant bahaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.