basant ki aamad
phir nazar aatī hai sabze kī fazā meñ duur tak
aur ḳhushbū se mahaktī haiñ havā.eñ duur tak
jaatī haiñ qumrī-o-bulbul kī sadā.eñ duur tak
nīche uupar aage pīchhe dā.eñ-bā.eñ duur tak
haiñ tarannum-rez yaksar shāḳh-o-barg-o-bār aaj
ban gayā hai resha resha tār-e-mausīqār aaj
gulshanoñ meñ haiñ urūsān-e-bahār ārāsta
gulban-o-naḳhl-o-nihāl-o-shāḳhsār ārāsta
sabza-e-gul se haiñ dasht-o-kohsār ārāsta
ho gayā saarā jahāñ ā.īna-dār ārāsta
har lab-e-jū par haiñ yuuñ sarv-e-ḳhirāmāñ saiñkaḌoñ
goyā shīshe meñ utar aa.ī haiñ pariyāñ saiñkaḌoñ
dahr se ma.adūm jaaḌe ke nishāñ hone lage
har taraf āsār-e-sar-garmī ayaañ hone lage
jāda-paimā.ī manāzil kā ravāñ hone lage
munjamid dariyāoñ ke paanī ravāñ hone lage
pattharoñ meñ josh-e-tāsīr-e-numū paidā huā
har rag-e-afsurda meñ taaza lahū paidā huā
ai vafā khulte haiñ tujh par aaj kyā kyā raaz dekh
chal chaman meñ bulbul-o-gul ke niyāz-o-nāz dekh
jumbish-e-mauj-e-nasīm-e-sub.h kā e.ajāz dekh
tā.ir-e-be-bāl-o-par kī hasrat-e-parvāz dekh
chhoḌ ġhaflat aur mahv-e-garm-joshī tū bhī ho
arsa-e-hastī meñ garm-e-tāza-koshī tū bhī ho
phir nazar aati hai sabze ki faza mein dur tak
aur KHushbu se mahakti hain hawaen dur tak
jati hain qumri-o-bulbul ki sadaen dur tak
niche upar aage pichhe daen-baen dur tak
hain tarannum-rez yaksar shaKH-o-barg-o-bar aaj
ban gaya hai resha resha tar-e-mausiqar aaj
gulshanon mein hain urusan-e-bahaar aarasta
gulban-o-naKHl-o-nihaal-o-shaKHsar aarasta
sabza-e-gul se hain dasht-o-kohsar aarasta
ho gaya sara jahan aaina-dar aarasta
har lab-e-ju par hain yun sarw-e-KHiraman sainkaDon
goya shishe mein utar aai hain pariyan sainkaDon
dahr se madum jaDe ke nishan hone lage
har taraf aasar-e-sar-garmi ayan hone lage
jada-paimai manazil ka rawan hone lage
munjamid dariyaon ke pani rawan hone lage
pattharon mein josh-e-tasir-e-numu paida hua
har rag-e-afsurda mein taza lahu paida hua
ai wafa khulte hain tujh par aaj kya kya raaz dekh
chal chaman mein bulbul-o-gul ke niyaz-o-naz dekh
jumbish-e-mauj-e-nasim-e-subh ka eajaz dekh
tair-e-be-baal-o-par ki hasrat-e-parwaz dekh
chhoD ghaflat aur mahw-e-garm-joshi tu bhi ho
arsa-e-hasti mein garm-e-taza-koshi tu bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.