qissa ek basant ka
patañgeñ lūTne vāloñ ko kyā mālūm kis ke haath kā māñjhā kharā thā aur kis kī
Dor halkī thī
unheñ is se ġharaz kyā peñch paḌte vaqt kin hāthoñ meñ larza aa gayā thā
aur kis kī kheñch achchhī thii?
havā kis kī taraf thii, kaun sī paalī kī bairī thii?
patañgeñ lūTne vāloñ ko kyā mālūm?
unheñ to bas basant aate hī apnī apnī Dāñgeñ le ke maidānoñ meñ aanā hai
galī-kūchoñ meñ kāñTī mārnā hai patañgeñ lūTnā hai luuT ke jauhar dikhānā hai
patañgeñ lūTne vāloñ ko kyā mālūm kis ke haath kā māñjhā kharā thā
aur kis kī Dor halkī thii?
patangen luTne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha aur kis ki
Dor halki thi
unhen is se gharaz kya pench paDte waqt kin hathon mein larza aa gaya tha
aur kis ki khench achchhi thi?
hawa kis ki taraf thi, kaun si pali ki bairi thi?
patangen luTne walon ko kya malum?
unhen to bas basant aate hi apni apni Dangen le ke maidanon mein aana hai
gali-kuchon mein kanTi marna hai patangen luTna hai luT ke jauhar dikhana hai
patangen luTne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha
aur kis ki Dor halki thi?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.