basanti tarana
lo phir basant aa.ī
phūloñ pe rañg laa.ī
chalo be-darañg
lab-e-āb-e-gañg
baje jal-tarañg
man par umañg chhā.ī
phūloñ pe rañg laa.ī
lo phir basant aa.ī
aafat ga.ī ḳhizāñ kī
qismat phirī jahāñ kī
chale mai-gusār
sū-e-lāla-zār
ma-e-parda-dār
shīshe ke dar se jhāñkī
qismat phirī jahāñ kī
aafat ga.ī ḳhizāñ kī
khetoñ kā har charinda
bāġhoñ kā har parinda
koī garm-ḳhez
koī naġhma-rez
subuk aur tez
phir ho gayā hai zinda
bāġhoñ kā har parinda
khetoñ kā har charinda
dhartī ke bel-būTe
andāz-e-nau se phūTe
huā baḳht sabz
milā raḳht sabz
haiñ daraḳht sabz
ban ban ke sabz nikle
andāz-e-nau se phūTe
dhartī ke bel-būTe
phūlī huī hai sarsoñ
bhūlī huī hai sarsoñ
nahīñ kuchh bhī yaad
yūñhī bā-murād
yūñhī shaad shaad
goyā rahegī barsoñ
bhūlī huī hai sarsoñ
phūlī huī hai sarsoñ
laḌkoñ kī jañg dekho
Dor aur patañg dekho
koī maar khaa.e
koī khilkhilā.e
koī muñh chiḌhā.e
tiflī ke rañg dekho
Dor aur patañg dekho
laḌkoñ kī jañg dekho
hai ishq bhī junūñ bhī
mastī bhī josh-e-ḳhūñ bhī
kahīñ dil meñ dard
kahīñ āh-e-sard
kahīñ rañg-e-zard
hai yuuñ bhī aur yuuñ bhī
mastī bhī josh-e-ḳhūñ bhī
hai ishq bhī junūñ bhī
ik nāznīñ ne pahne
phūloñ ke zard gahne
hai magar udaas
nahīñ pī ke paas
ġham-o-rañj-o-yās
dil ko paḌe haiñ sahne
ik nāznīñ ne pahne
phūloñ ke zard gahne
lo phir basant aai
phulon pe rang lai
chalo be-darang
lab-e-ab-e-gang
baje jal-tarang
man par umang chhai
phulon pe rang lai
lo phir basant aai
aafat gai KHizan ki
qismat phiri jahan ki
chale mai-gusar
su-e-lala-zar
ma-e-parda-dar
shishe ke dar se jhanki
qismat phiri jahan ki
aafat gai KHizan ki
kheton ka har charinda
baghon ka har parinda
koi garm-KHez
koi naghma-rez
subuk aur tez
phir ho gaya hai zinda
baghon ka har parinda
kheton ka har charinda
dharti ke bel-buTe
andaz-e-nau se phuTe
hua baKHt sabz
mila raKHt sabz
hain daraKHt sabz
ban ban ke sabz nikle
andaz-e-nau se phuTe
dharti ke bel-buTe
phuli hui hai sarson
bhuli hui hai sarson
nahin kuchh bhi yaad
yunhi ba-murad
yunhi shad shad
goya rahegi barson
bhuli hui hai sarson
phuli hui hai sarson
laDkon ki jang dekho
Dor aur patang dekho
koi mar khae
koi khilkhilae
koi munh chiDhae
tifli ke rang dekho
Dor aur patang dekho
laDkon ki jang dekho
hai ishq bhi junun bhi
masti bhi josh-e-KHun bhi
kahin dil mein dard
kahin aah-e-sard
kahin rang-e-zard
hai yun bhi aur yun bhi
masti bhi josh-e-KHun bhi
hai ishq bhi junun bhi
ek naznin ne pahne
phulon ke zard gahne
hai magar udas
nahin pi ke pas
gham-o-ranj-o-yas
dil ko paDe hain sahne
ek naznin ne pahne
phulon ke zard gahne
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.