bashaarat
bahut dinoñ ba.ad
jab kabhī
maañ se miltā huuñ
to bātoñ hī bātoñ meñ
akasr pūchh letī hai
namāz paḌhte ho
jum.a kī hī sahī
yā phir
iid kī
ur meñ
hīloñ bahānoñ ke pech
jannat kī ghabrā.ī āñkhoñ meñ
dozaḳh kī
ma.adūm jhalak dekh
muskurātā huuñ
ki kaise
tamām māmtāoñ ko sameT
us kī be-āvāz
duā
merī muhāfiz ban jaatī hai
sambhāl kar rakhā
merā ma.asūm bachpan
pesh kar detī hai
ġhazab ilāhī ke aage
aur maiñ
baḳhshish diyā jaatā huuñ
jaane kitnī baar
vo
firdaus de chukī hai mujhe
bahut dinon baad
jab kabhi
man se milta hun
to baaton hi baaton mein
akasr puchh leti hai
namaz paDhte ho
juma ki hi sahi
ya phir
id ki
ur mein
hilon bahanon ke pech
jannat ki ghabrai aankhon mein
dozaKH ki
madum jhalak dekh
muskuraata hun
ki kaise
tamam mamtaon ko sameT
us ki be-awaz
dua
meri muhafiz ban jati hai
sambhaal kar rakha
mera masum bachpan
pesh kar deti hai
ghazab ilahi ke aage
aur main
baKHshish diya jata hun
jaane kitni bar
wo
firdaus de chuki hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.