bashar zinda hai
merī bastī meñ bahut der se sannāTā hai
na kahīñ nāla-o-shevan na koī shor-e-bukā
par kahīñ duur bahut duur kisī kūche se
haule haule sisakne kī sadā aa.ī hai
sun ke ye girya-e-uftāda tasallī sī huī
merī bastī meñ abhī koī bashar zinda hai
ḳhatm ho jā.egī ye raat sahar zinda hai
kyā ajab ki yahī mauhūm sī āvāz
yahī siskārī
ek din shor-e-bukā ban jaa.e
ek elān-e-vaġhā ban jaa.e
meri basti mein bahut der se sannaTa hai
na kahin nala-o-shewan na koi shor-e-buka
par kahin dur bahut dur kisi kuche se
haule haule sisakne ki sada aai hai
sun ke ye girya-e-uftada tasalli si hui
meri basti mein abhi koi bashar zinda hai
KHatm ho jaegi ye raat sahar zinda hai
kya ajab ki yahi mauhum si aawaz
yahi siskari
ek din shor-e-buka ban jae
ek elan-e-wagha ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.