basti ki laDkiyon ke nam
chal ai nasīm-e-sahrā rūh-o-ravān-e-sahrā
merā payām le jā sū-e-butān-e-sahrā
sahrā.ī mahvashoñ kī ḳhidmat meñ jā ke kahnā
bhūle nahīñ tumheñ ham ai duḳhtarān-e-sahrā
gar bas chale to aa.eñ aur dard-e-dil sunā.eñ
tum ko gale lagā.eñ ham phir miyān-e-sahrā
tum najd meñ pareshāñ shahroñ meñ ham haiñ hairāñ
allāh kī amaañ ho tum par butān-e-sahrā
tum is tarah ġhamoñ se behāl ho rahī ho
ham is taraf haiñ muztar dāman-kushān-e-sahrā
ham paas aa.eñ kyuuñ kar tum ko bulā.eñ kyuuñ kar
ye dukh miTā.eñ kyuuñ kar vāmāñdgān-e-sahrā
betāb haiñ alam se be-ḳhvāb ranj-o-ġham se
kyā pūchhtī ho ham se ai dil-barān-e-sahrā
tum yaad kar rahī ho bedād kar rahī ho
barbād kar rahī ho ai gul-ruḳhān-e-sahrā
ye kyā kahā ki tum ho rañgīniyoñ ke ḳhūgar
ġhamgīñ haiñ tum se baḌh kar ai ġham-kushān-e-sahrā
ye raat ye ghaTā.eñ ye shor ye havā.eñ
bichhḌe hue mileñge kyūñkar miyān-e-sahrā
shahroñ kī zindagī se ham tañg aa chuke haiñ
sahrā meñ phir bulā lo ai sakinān-e-sahrā
yād-e-sumūm ho yā sarsar ke tund tūfāñ
Darte nahīñ kisī se dil-dādgān-e-sahrā
ābādiyoñ meñ hāsil āzādiyāñ nahīñ haiñ
aa jaao tum hī uḌ kar o tā.irān-e-sahrā
sahrā kī vus.atoñ meñ ham ko na bhuul jaanā
o duḳhtarān-e-sahrā o āhuvān-e-sahrā
ai abr chup na rahnā merā fasāna kahnā
mil jaa.e gar kahīñ vo sarv-e-ravān-e-sahrā
dashtī kī dhun meñ saaqī ik naġhma-e-īrāqī
haañ phir sunā ba-yād-e-gul-chehargān-e-sahrā
āñkhoñ meñ bas rahā hai naqsh-e-butān-e-sahrā
o dāstāñ-sarā chheḌ ik dāstān-e-sahrā
mastāna jā rahā hai phir karvān-e-sahrā
haañ jhuum kar hudī-ḳhvāñ ik dāstān-e-sahrā
dehāt kī fazā.eñ āñkhoñ meñ phir rahī haiñ
dil meñ samā rahī hai yād-e-butān-e-sahrā
nazroñ pe chhā rahā hai vo chāñdnī kā manzar
sahrā meñ kheltī thiiñ jab hūryān-e-sahrā
vo chāñdnī kā mausam vo be-ḳhudī kā aalam
vo nuur kā samundar reg-e-ravān-e-sahrā
jalve mah-e-javāñ ke vo rañg-e-kārvāñ ke
vo naġhme sārbāñ ke raqsāñ miyān-e-sahrā
kyūñkar na yaad aa.eñ vo sīm-gūñ fazā.eñ
vo āsmān-e-sahrā māh-e-ravān-e-sahrā
vo kam-sinoñ ke gaane vo khel vo tarāne
be-fikrī ke fasāne vird-e-zabān-e-sahrā
khetoñ meñ ghūmte the har gul ko chūmte the
mastī meñ jhūmte the jab mai-kashān-e-sahrā
vo gaañv vo fazā.eñ vo fasl vo havā.eñ
vo khet vo ghaTā.eñ vo āsmān-e-sahrā
phir yaad aa rahī haiñ phir dil dukhā rahī haiñ
majnūñ banā rahī haiñ lailā-vashān-e-sahrā
rātoñ ko chhup ke aanā aur shāne ko hilānā
hai yaad vo jagānā ham ko miyān-e-sahrā
vo un kī shoḳh āñkheñ vo un kī saada nazreñ
be-ḳhud banā rahī haiñ doshīzgān-e-sahrā
vo ishq-pesha huuñ maiñ jis ke javān naġhme
gaatā hai chāñdnī meñ har naujavān-e-sahrā
ik badviyat kā āshiq sahrā.iyat se be-ḳhud
'aḳhtar' bhī apnī dhun meñ hai ik javān-e-sahrā
chal ai nasim-e-sahra ruh-o-rawan-e-sahra
mera payam le ja su-e-butan-e-sahra
sahrai mahwashon ki KHidmat mein ja ke kahna
bhule nahin tumhein hum ai duKHtaran-e-sahra
gar bas chale to aaen aur dard-e-dil sunaen
tum ko gale lagaen hum phir miyan-e-sahra
tum najd mein pareshan shahron mein hum hain hairan
allah ki aman ho tum par butan-e-sahra
tum is tarah ghamon se behaal ho rahi ho
hum is taraf hain muztar daman-kushan-e-sahra
hum pas aaen kyun kar tum ko bulaen kyun kar
ye dukh miTaen kyun kar wamandgan-e-sahra
betab hain alam se be-KHwab ranj-o-gham se
kya puchhti ho hum se ai dil-baran-e-sahra
tum yaad kar rahi ho bedad kar rahi ho
barbaad kar rahi ho ai gul-ruKHan-e-sahra
ye kya kaha ki tum ho ranginiyon ke KHugar
ghamgin hain tum se baDh kar ai gham-kushan-e-sahra
ye raat ye ghaTaen ye shor ye hawaen
bichhDe hue milenge kyunkar miyan-e-sahra
shahron ki zindagi se hum tang aa chuke hain
sahra mein phir bula lo ai sakinan-e-sahra
yaad-e-sumum ho ya sarsar ke tund tufan
Darte nahin kisi se dil-dadgan-e-sahra
aabaadiyon mein hasil aazadiyan nahin hain
aa jao tum hi uD kar o tairan-e-sahra
sahra ki wusaton mein hum ko na bhul jaana
o duKHtaran-e-sahra o aahuwan-e-sahra
ai abr chup na rahna mera fasana kahna
mil jae gar kahin wo sarw-e-rawan-e-sahra
dashti ki dhun mein saqi ek naghma-e-iraqi
han phir suna ba-yaad-e-gul-chehargan-e-sahra
aankhon mein bas raha hai naqsh-e-butan-e-sahra
o dastan-sara chheD ek dastan-e-sahra
mastana ja raha hai phir karwan-e-sahra
han jhum kar hudi-KHwan ek dastan-e-sahra
dehat ki fazaen aankhon mein phir rahi hain
dil mein sama rahi hai yaad-e-butan-e-sahra
nazron pe chha raha hai wo chandni ka manzar
sahra mein khelti thin jab huryan-e-sahra
wo chandni ka mausam wo be-KHudi ka aalam
wo nur ka samundar reg-e-rawan-e-sahra
jalwe mah-e-jawan ke wo rang-e-karwan ke
wo naghme sarban ke raqsan miyan-e-sahra
kyunkar na yaad aaen wo sim-gun fazaen
wo aasman-e-sahra mah-e-rawan-e-sahra
wo kam-sinon ke gane wo khel wo tarane
be-fikri ke fasane wird-e-zaban-e-sahra
kheton mein ghumte the har gul ko chumte the
masti mein jhumte the jab mai-kashan-e-sahra
wo ganw wo fazaen wo fasl wo hawaen
wo khet wo ghaTaen wo aasman-e-sahra
phir yaad aa rahi hain phir dil dukha rahi hain
majnun bana rahi hain laila-washan-e-sahra
raaton ko chhup ke aana aur shane ko hilana
hai yaad wo jagana hum ko miyan-e-sahra
wo un ki shoKH aankhen wo un ki sada nazren
be-KHud bana rahi hain doshizgan-e-sahra
wo ishq-pesha hun main jis ke jawan naghme
gata hai chandni mein har naujawan-e-sahra
ek badwiyat ka aashiq sahraiyat se be-KHud
'aKHtar' bhi apni dhun mein hai ek jawan-e-sahra
- Book : Kulliyat-e-Akhtar shirani (Pg. 154)
- Author : Gopal Mittal
- Publication : Modern Publishing House (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.