batao to sahi
aadmī ko 'aql-o-‘ilm-o-āgahī detā hai kaun
chāñd ko tāroñ ko āḳhir raushnī detā hai kaun
kaun hai jis ne bichhā rakkhā hai ye farsh-e-zamīñ
phuul ko rangat phaloñ ko tāzgī detā hai kaun
kis kī hikmat se hai āḳhir āsmāñ Thahrā huā
ye zamīñ gardish meñ hai aur ik jahāñ phailā huā
rizq pahuñchānā hai kis kā faiz har maḳhlūq ko
kis ne sūraj ko ḳhalā meñ chhoḌā hai jaltā huā
aadmi ko 'aql-o-‘ilm-o-agahi deta hai kaun
chand ko taron ko aaKHir raushni deta hai kaun
kaun hai jis ne bichha rakkha hai ye farsh-e-zamin
phul ko rangat phalon ko tazgi deta hai kaun
kis ki hikmat se hai aaKHir aasman Thahra hua
ye zamin gardish mein hai aur ek jahan phaila hua
rizq pahunchana hai kis ka faiz har maKHluq ko
kis ne suraj ko KHala mein chhoDa hai jalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.