bataḳh kā ik bachcha pakḌe
āñgan se ik billī bhāgī
billī pīchhe kuttā dauḌā
chunnū munnū guDDū pappū
kallū sallū saare bachche
ballā le kar pīchhe dauḌe
saath meñ dauḌeñ shanno appī
guDDā guDDī le kar apne
nannhī munnī chunnī dauḌī
abbā dauḌe ammī dauḌīñ
dauḌe Dabbū chachchā bhī
achhan bhaa.ī kallan bhaa.ī
chuTTan bhaa.ī mannan bhaa.ī
pīchhe pīchhe vo bhī dauḌe
billī ruk kar ġhurrā.ī
sher kī ḳhāla lahrā.ī
āñkheñ apnī chamkā.īñ
niilī topeñ damkā.īñ
himmat sab kī tharrā.ī
sūrat ik ik murjhā.ī
kuttā dum dabā kar bhāgā
billī se ghabrā kar bhāgā
dekh ye manzar sab ghabrā.e
battaḳh ko ab kaun bachā.e
bataKH ka ek bachcha pakDe
aangan se ek billi bhagi
billi pichhe kutta dauDa
chunnu munnu guDDu pappu
kallu sallu sare bachche
balla le kar pichhe dauDe
sath mein dauDen shanno appi
guDDa guDDi le kar apne
nannhi munni chunni dauDi
abba dauDe ammi dauDin
dauDe Dabbu chachcha bhi
achhan bhai kallan bhai
chuTTan bhai mannan bhai
pichhe pichhe wo bhi dauDe
billi ruk kar ghurrai
sher ki KHala lahrai
aankhen apni chamkain
nili topen damkain
himmat sab ki tharrai
surat ek ek murjhai
kutta dum daba kar bhaga
billi se ghabra kar bhaga
dekh ye manzar sab ghabrae
battaKH ko ab kaun bachae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.