batlao na dadi-jaan
aadhī aadhī raat ko ye
murġhā kyuuñ detā hai azaan
kālī-kalūTī koyal kī
kyuuñ mīThī lagtī hai taan
āsmān meñ din bhar ye
kyuuñ bhartī hai chiil uḌaan
billī raat ke vaqt hī kyuuñ
letī hai chūhoñ kī jaan
din bhar ye sote rahnā
kyuuñ hai ullū kī pahchān
nadī kināre bagulā kyuuñ
roz lagātā hai ye dhyān
girgiT chaḌhtī dhuup meñ kyuuñ
rañg badaltā hai har aan
itne lambe lambe kyuuñ
hote haiñ ḳhargosh ke kaan
tum ko ho ma.alūm to kuchh
batlāo nā dādī-jān
aadhi aadhi raat ko ye
murgha kyun deta hai azan
kali-kaluTi koyal ki
kyun miThi lagti hai tan
aasman mein din bhar ye
kyun bharti hai chil uDan
billi raat ke waqt hi kyun
leti hai chuhon ki jaan
din bhar ye sote rahna
kyun hai ullu ki pahchan
nadi kinare bagula kyun
roz lagata hai ye dhyan
girgiT chaDhti dhup mein kyun
rang badalta hai har aan
itne lambe lambe kyun
hote hain KHargosh ke kan
tum ko ho malum to kuchh
batlao na dadi-jaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.