bayaban-e-basra
to phir abbā nahīñ aa.e
faqīr aayā na muTThī bhar anaaj aayā
badal detā hai ruḳh bātoñ kā jaise be-ḳhayālī meñ
vo jhīleñ darmiyāñ aatī haiñ
jo jale chamakte abr-pāroñ narkuloñ nīlūfaroñ se jā-ba-jā ābād
kahīñ nīlam kahīñ lāl-o-zamurrad se jo maalā maal
kisī rut meñ dahaktī dhuul kī jāgīr sūkhā taal
magar abbā jo kahte the
vahāñ nahreñ ravānī meñ haiñ bārah maas
chauḌe paaT pakke ghaaT
tanāvar peḌ jin ke nīche kharī chārpā.ī
kash pe kash huqqe ke
yuuñ apne vatan ke ThaaT
vatan un kā hamāre hī vatan kā ek qarya thā
to phir abbā nahīñ aa.e
kahānī-kār kī uljhan
ki sunñe vaalā sun kar an-sunī kartā hai
jaise saarā naqsha dekhā bhālā ho us kā
ise bas vaqfa vaqfa se latīfoñ kī talab
phir un ko gahre-pan se pī jaanā
use aadat ki thāme haath un kā
jo kisī Dhalvān se nīche utarte haiñ to Darte haiñ
magar ik iztirārī sī zaqand apnī
azal se jo malāmat cash kam āzār mehnat-kash
achānak darmiyāñ haa.il
vo ranjish ko bhulā dene meñ dariyā dil
magar is baat kā abbā jo kahte the mirā beTā sipāhī hai
nahīñ qaa.il
usī kī ham-navā haiñ vo guzargāheñ
gaḌhoñ Tīloñ chaTānoñ se ibārat
jin se ham aksar guzarte haiñ
havā.eñ is ko rotī haiñ
to aañsū duur
tārā-manDaloñ meñ jā bikharte haiñ
to phir abba nahin aae
faqir aaya na muTThi bhar anaj aaya
badal deta hai ruKH baaton ka jaise be-KHayali mein
wo jhilen darmiyan aati hain
jo jale chamakte abr-paron narkulon nilufaron se ja-ba-ja aabaad
kahin nilam kahin lal-o-zamurrad se jo mala mal
kisi rut mein dahakti dhul ki jagir sukha tal
magar abba jo kahte the
wahan nahren rawani mein hain barah mas
chauDe paT pakke ghaT
tanawar peD jin ke niche khari chaarpai
kash pe kash huqqe ke
yun apne watan ke ThaT
watan un ka hamare hi watan ka ek qarya tha
to phir abba nahin aae
kahani-kar ki uljhan
ki sunne wala sun kar an-suni karta hai
jaise sara naqsha dekha bhaala ho us ka
ise bas waqfa waqfa se latifon ki talab
phir un ko gahre-pan se pi jaana
use aadat ki thame hath un ka
jo kisi Dhalwan se niche utarte hain to Darte hain
magar ek iztirari si zaqand apni
azal se jo malamat cash kam aazar mehnat-kash
achanak darmiyan hail
wo ranjish ko bhula dene mein dariya dil
magar is baat ka abba jo kahte the mera beTa sipahi hai
nahin qail
usi ki ham-nawa hain wo guzargahen
gaDhon Tilon chaTanon se ibarat
jin se hum aksar guzarte hain
hawaen is ko roti hain
to aansu dur
tara-manDalon mein ja bikharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.