bayaz-e-dil
bayāz-e-dil ko jo kholeñ to justujū hogī
har ek saf.ha-e-hastī kī guftugū hogī
unheñ ye zid ki na aao hamārī mahfil meñ
hameñ gumāñ rahā kuchh to vafā kī ḳhū hogī
isī sabab se thā ai nāma-bar tujhe rokā
ki ab to baat jo hogī vo rū-ba-rū hogī
mizāj un kā samajhnā kisī ke bas meñ nahīñ
vafā kī baat par aisī bhī tum se tū hogī
dilā.eñ laakh yaqīn ham magar vo kyoñ maane
jo baat ghar se chalegī har ek sū hogī
chhupā ke rakkhā hai palkoñ ne ik samundar ko
jo chashm-e-nam se girī buuñd vo lahū hogī
sitāre Duub ke laa.e ḳhabar sahar kī 'adā'
kudūratoñ ko haTāo to dil meñ zau hogī
bayaz-e-dil ko jo kholen to justuju hogi
har ek safha-e-hasti ki guftugu hogi
unhen ye zid ki na aao hamari mahfil mein
hamein guman raha kuchh to wafa ki KHu hogi
isi sabab se tha ai nama-bar tujhe roka
ki ab to baat jo hogi wo ru-ba-ru hogi
mizaj un ka samajhna kisi ke bas mein nahin
wafa ki baat par aisi bhi tum se tu hogi
dilaen lakh yaqin hum magar wo kyon mane
jo baat ghar se chalegi har ek su hogi
chhupa ke rakkha hai palkon ne ek samundar ko
jo chashm-e-nam se giri bund wo lahu hogi
sitare Dub ke lae KHabar sahar ki 'ada'
kuduraton ko haTao to dil mein zau hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.