badalte pahlu
kitnī dilkash hotī haiñ ḳhush-fahmiyāñ
ḳhatm hone se pahle
baḌe rañgīn hote haiñ ḳhvāb
bikharne se pahle
bahut hasīn hote haiñ phuul
murjhāne se pahle
behad ḳhūb-sūrat hotī hai mohabbat
bevafā.ī se pahle
har āġhāz pahuñchtā hai anjām ko
milan kā pīchhā kartī hai judā.ī
din ke pahlū meñ rahtī hai raat
aur zindagī kā dāman thāme
saaya sī chaltī hai maut
zindagī ke utār-chaḌhāo
dil par chhoḌ jaate haiñ naqsh
agar insān kā bas chaltā
kyā vo ḳhushī ke pal hī nahīñ chuntā
kitni dilkash hoti hain KHush-fahmiyan
KHatm hone se pahle
baDe rangin hote hain KHwab
bikharne se pahle
bahut hasin hote hain phul
murjhane se pahle
behad KHub-surat hoti hai mohabbat
bewafai se pahle
har aaghaz pahunchta hai anjam ko
milan ka pichha karti hai judai
din ke pahlu mein rahti hai raat
aur zindagi ka daman thame
saya si chalti hai maut
zindagi ke utar-chaDhao
dil par chhoD jate hain naqsh
agar insan ka bas chalta
kya wo KHushi ke pal hi nahin chunta
- Book : Muhobbat Ke Saaye (Pg. 67)
- Author : Elizabeth Kurian Mona
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.