be-chaara sher
mariyam ne ḳhvāb dekhā
jangal meñ hai vo tanhā
itne meñ jhāḌiyoñ se
ik sher jhaT se niklā
dekhī jo shakl us kī
mariyam pe ḳhauf chhāyā
bechārī jī meñ sahmī
ab sher mujh pe jhapTā
par sher kā to us dam
kuchh aur hī thā naqsha
thā vo bahut pareshāñ
sahmā sā aur Darā sā
laTkī huī thī gardan
utrā huā thā chehra
āñkhoñ meñ us kī aañsū
jo dum se poñchhtā thā
mariyam ko dekh kar ye
behad huā achambhā
Dhāras bañdhī jo us kī
mariyam ne us se pūchhā
ai bādshah salāmat
hai haal aap kā kyā
tab us ne jhurjhurī lī
mariyam kī samt palTā
pahle dikhā.e panje
kholā phir apnā jabḌā
kuchh der chup rahā vo
phir aah bhar ke bolā
kyā pūchhtī ho mujh se
ai merī nannhī guḌiyā
bigḌā mirā muqaddar
phūTā mirā nasība
yā bad-duā hai us kī
maiñ ne jise satāyā
mujh meñ rahe na kuchh gun
ab daañt haiñ na nāḳhun
mariyam ne KHwab dekha
jangal mein hai wo tanha
itne mein jhaDiyon se
ek sher jhaT se nikla
dekhi jo shakl us ki
mariyam pe KHauf chhaya
bechaari ji mein sahmi
ab sher mujh pe jhapTa
par sher ka to us dam
kuchh aur hi tha naqsha
tha wo bahut pareshan
sahma sa aur Dara sa
laTki hui thi gardan
utra hua tha chehra
aankhon mein us ki aansu
jo dum se ponchhta tha
mariyam ko dekh kar ye
behad hua achambha
Dhaaras bandhi jo us ki
mariyam ne us se puchha
ai baadshah salamat
hai haal aap ka kya
tab us ne jhurjhuri li
mariyam ki samt palTa
pahle dikhae panje
khola phir apna jabDa
kuchh der chup raha wo
phir aah bhar ke bola
kya puchhti ho mujh se
ai meri nannhi guDiya
bigDa mera muqaddar
phuTa mera nasiba
ya bad-dua hai us ki
main ne jise sataya
mujh mein rahe na kuchh gun
ab dant hain na naKHun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.