be-chaara suraj-mukhi
ham bahte dariyāoñ kī mānind
narm zamīnoñ kī talāsh meñ haiñ
jin ke mulā.em badan meñ ḳhushbū ho
par un kī kokh meñ biij na ho
is aas par ki
bahte dariyā kā
jab ḳhaak se vasl ho
bahte bādaloñ par shaam kā safar jaarī ho
miTTī apne masāmoñ meñ aab samo kar
shānt ho jaa.e
phir āsmān par sitāre
aur zamīn par na.e phuul
phūloñ ke gird chahchahāte parinde
sitāroñ kī taraf dekhte bālak
sub.h kī pahlī kirnoñ aise raushan
sitāre phuul chahchahāte parinde aur bālak
sūraj nikle to sharmā jaa.e
be-chāra sūraj-mukhī
hum bahte dariyaon ki manind
narm zaminon ki talash mein hain
jin ke mulaem badan mein KHushbu ho
par un ki kokh mein bij na ho
is aas par ki
bahte dariya ka
jab KHak se wasl ho
bahte baadalon par sham ka safar jari ho
miTTi apne masamon mein aab samo kar
shant ho jae
phir aasman par sitare
aur zamin par nae phul
phulon ke gird chahchahate parinde
sitaron ki taraf dekhte baalak
subh ki pahli kirnon aise raushan
sitare phul chahchahate parinde aur baalak
suraj nikle to sharma jae
be-chaara suraj-mukhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.