be-irada zist kije
akelā-pan parinde kā
parinde kā akelā-pan
samā.at-gāh-e-vīrānī meñ bulbul boltī hai
akelā-pan gaḌriye kā
kisī saada gaḌriye kā akelā-pan
vo is shab bheḌiyoñ ke darmiyāñ tanhā nahīñ hogā
akelā-pan musāfir kā
kisī bhūle musāfir kā akelā-pan
musāfir quvvat-e-parvāz se majbūr hai
aage nikal jaatā hai
sāhil par parinde ghaas par TuuTe hue par dekhte haiñ
musāfir ke darmiyāñ tanhā nahīñ hogā
akelā-pan sitāre kā
sitāre kā akelā-pan
sitāra TūTtā hai raakh ho jaatā hai
miTTī sab chhupā letī hai
miTTī meñ koī tanhā nahīñ hotā
fanā ta.amīl dars-e-be-ḳhudī hai
be-irāda ziist kiije
be-taqāzā pā.iye
kūcha-e-bint-e-sarā-e-dahr meñ chaliye kabhī sar-salāmat aa.iye
aur ik raqs-e-fanā ta.amīl dars-e-be-ḳhudī
chūñtīyoñ ke darmiyāñ bheḌiyoñ ke darmiyāñ
miTTiyoñ ke silsiloñ ke darmiyāñ raqs-e-fanā
be-irāda ziist kiije
akela-pan parinde ka
parinde ka akela-pan
samaat-gah-e-virani mein bulbul bolti hai
akela-pan gaDriye ka
kisi sada gaDriye ka akela-pan
wo is shab bheDiyon ke darmiyan tanha nahin hoga
akela-pan musafir ka
kisi bhule musafir ka akela-pan
musafir quwwat-e-parwaz se majbur hai
aage nikal jata hai
sahil par parinde ghas par TuTe hue par dekhte hain
musafir ke darmiyan tanha nahin hoga
akela-pan sitare ka
sitare ka akela-pan
sitara TuTta hai rakh ho jata hai
miTTi sab chhupa leti hai
miTTi mein koi tanha nahin hota
fana tamil dars-e-be-KHudi hai
be-irada zist kije
be-taqaza paiye
kucha-e-bint-e-sara-e-dahr mein chaliye kabhi sar-salamat aaiye
aur ek raqs-e-fana tamil dars-e-be-KHudi
chuntiyon ke darmiyan bheDiyon ke darmiyan
miTTiyon ke silsilon ke darmiyan raqs-e-fana
be-irada zist kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.