be-jurat-e-rindana har ishq hai rubahi
Interesting Fact
(Maharab Gul Afghan's thoughts) (Zarb-e-Kalim)
be-jur.at-e-rindāna har 'ishq hai rūbāhī
baazū hai qavī jis kā vo 'ishq yadullāhī
jo saḳhtī-e-manzil ko sāmān-e-safar samjhe
ai vaa.e tan-āsānī nāpaid hai vo raahī
vahshat na samajh is ko ai mardak-e-maidānī
kohsār kī ḳhalvat hai tā'līm-e-ḳhud-āgāhī
duniyā hai rivāyātī 'uqbā hai munājātī
dar-bāz do-'ālam-rā iin ast shahanshāhī
be-jurat-e-rindana har 'ishq hai rubahi
bazu hai qawi jis ka wo 'ishq yadullahi
jo saKHti-e-manzil ko saman-e-safar samjhe
ai wae tan-asani napaid hai wo rahi
wahshat na samajh is ko ai mardak-e-maidani
kohsar ki KHalwat hai ta'lim-e-KHud-agahi
duniya hai riwayati 'uqba hai munajati
dar-baz do-'alam-ra in ast shahanshahi
- Book : کلیات اقبال (Pg. 636)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.