be-KHabar
kuchh ḳhabar ai hind vaalo hai ki tum ho be-ḳhabar
kar rahā hai zulm zālim qaum ke har fard par
ye sarāpā zulm hai bedād kī tasvīr hai
paar hai vo sab ke dil se jo kamāñ meñ tiir hai
barbariyat is kā sheva shaitanat hai is kā kaam
chāhtā hai umr bhar rakhnā tumheñ apnā ġhulām
is kā pesha rahzanī hai is kā maslak hai riyā
is kā maz.hab aur kyā hai is kā maz.hab hai daġhā
bekas-o-majbūr dil par rahm kuchh khātā nahīñ
zulm kab kartā nahīñ āzār kab Dhātā nahīñ
aise zālim se hamesha tum ko laḌnā chāhiye
paañv ke nīche sitamgar ko ragaḌnā chāhiye
kuchh KHabar ai hind walo hai ki tum ho be-KHabar
kar raha hai zulm zalim qaum ke har fard par
ye sarapa zulm hai bedad ki taswir hai
par hai wo sab ke dil se jo kaman mein tir hai
barbariyat is ka shewa shaitanat hai is ka kaam
chahta hai umr bhar rakhna tumhein apna ghulam
is ka pesha rahzani hai is ka maslak hai riya
is ka mazhab aur kya hai is ka mazhab hai dagha
bekas-o-majbur dil par rahm kuchh khata nahin
zulm kab karta nahin aazar kab Dhata nahin
aise zalim se hamesha tum ko laDna chahiye
panw ke niche sitamgar ko ragaDna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.