be-KHabar log
magar un ke andar jarāsīm haiñ
ruuh kī jhurriyoñ ko jhulas dene vaale
jinheñ zañg-ālūd chehre
faqat caustic aur tezāb se saaf karnā
sukūñ baḳhshtā hai
jin kī theory
sigreToñ ke dhueñ chaa.e kī pyāliyāñ
kuchh na kuchh kar guzarne kī bāteñ
magar kuchh na karne kī aadat pe
mauqūf hai
soch meñ raushnī hai
amal nafratoñ ke añdhere kī jānib liye jā rahā hai
unheñ pūchhne kī ijāzat nahīñ hai
unheñ dekhne kā koī haq nahīñ hai
ki kitne na.e naam
phir raushnī ne salīboñ kī dīvār par likh diye haiñ
ki kitne purāne miTā.e ga.e haiñ
suno vaqt shab-ḳhūn jab mārtā hai
to ḳhvāboñ meñ jaage hue ko bhī
murda hī gardāntā hai
magar un ke andar jarasim hain
ruh ki jhurriyon ko jhulas dene wale
jinhen zang-alud chehre
faqat caustic aur tezab se saf karna
sukun baKHshta hai
jin ki theory
sigreTon ke dhuen chae ki pyaliyan
kuchh na kuchh kar guzarne ki baaten
magar kuchh na karne ki aadat pe
mauquf hai
soch mein raushni hai
amal nafraton ke andhere ki jaanib liye ja raha hai
unhen puchhne ki ijazat nahin hai
unhen dekhne ka koi haq nahin hai
ki kitne nae nam
phir raushni ne salibon ki diwar par likh diye hain
ki kitne purane miTae gae hain
suno waqt shab-KHun jab marta hai
to KHwabon mein jage hue ko bhi
murda hi gardanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.