be-KHwab nind
na jaane kaun vo bahrūpiyā hai
jo har shab
mirī thakī huī palkoñ kī sabz chhāñv meñ
tarah tarah ke karishme dikhāyā kartā hai
lapaktī surḳh lapaT
jhūmtī huī Daalī
chamakte taal ke paanī meñ Dūbtā patthar
ubharte phailte gheroñ meñ tairte ḳhanjar
uchhaltī geñd rabaḌ kī sadhe hue do haath
sulagte khet kī miTTī pe TūTtī barsāt
ajiib ḳhvāb haiñ ye
binā vazū kiye soī nahīñ kabhī maiñ to
maiñ sochtī huuñ
kisī roz apnī bhābī ke
chamakte paañv kī pāzeb toḌ kar rakh duuñ
baḌī sharīr hai har vaqt shor kartī haiñ
kisī tarah sahī be-ḳhvāb niiñd to aa.e
ghaḌī ghaḌī kī musībat se jaan chhuT jaa.e
na jaane kaun wo bahrupiya hai
jo har shab
meri thaki hui palkon ki sabz chhanw mein
tarah tarah ke karishme dikhaya karta hai
lapakti surKH lapaT
jhumti hui Dali
chamakte tal ke pani mein Dubta patthar
ubharte phailte gheron mein tairte KHanjar
uchhalti gend rabaD ki sadhe hue do hath
sulagte khet ki miTTi pe TuTti barsat
ajib KHwab hain ye
bina wazu kiye soi nahin kabhi main to
main sochti hun
kisi roz apni bhabi ke
chamakte panw ki pazeb toD kar rakh dun
baDi sharir hai har waqt shor karti hain
kisi tarah sahi be-KHwab nind to aae
ghaDi ghaDi ki musibat se jaan chhuT jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.