be-masraf rishton ki faraghat
sab se achchhā khel hai
ajnabiyyat ko kurednā
sab se achchhā khel hai
vaqt-guzārī
vaqt bahut hai hamāre paas
kuḌhte rahne ke liye aur
bāteñ karne ke liye
dīvāroñ se ḳhud-kalāmī ke andāz meñ
dīvāreñ kahāñ suntī haiñ
dīvāreñ to bas dīvāreñ haiñ
jo haa.il rahtī haiñ rishtoñ ke darmiyān
jin par laTkā.e jā sakte haiñ rishte!
matrūk jazboñ ke make-up meñ lipTe lipTā.e
be-chehra poster
purāne calender kī tarah utaar pheñkne ke liye
vaqt kī qāsheñ!
vaqt bahut hai hamāre paas
vaqt guzārī ke liye
computer scrēn par raushan rahte haiñ
be-hisāb gaD-maD hurūf be-shumār be-ḳhāl-o-ḳhat
āvāzeñ!
ajnabiyyat kī tahoñ se na.e rishte na.e ta.alluq
jinheñ laTkāyā jā sake calender kī tarah
saḳht-dil dīvāroñ par
jinheñ laTkāyā jā sake calender kī tarah
sab se achchhā khel hai
ajnabiyyat ko kurednā
aur kured rahe haiñ hamāre bachche
na.e rishte na.e ghar na.e vatan
khel hī khel meñ
kitnā be-rishta kitnā be-ghar kitnā be-vatan kar diyā hai
hameñ hamāre bachchoñ ne!!!
hamāre paas to sirf dīvāreñ bachī haiñ
jin par laTkā.ī jā saktī hai
be-masraf rishtoñ kī farāġhat!!
aur vaqt bahut hai hamāre pās!!!
sab se achchha khel hai
ajnabiyyat ko kuredna
sab se achchha khel hai
waqt-guzari
waqt bahut hai hamare pas
kuDhte rahne ke liye aur
baaten karne ke liye
diwaron se KHud-kalami ke andaz mein
diwaren kahan sunti hain
diwaren to bas diwaren hain
jo hail rahti hain rishton ke darmiyan
jin par laTkae ja sakte hain rishte!
matruk jazbon ke make-up mein lipTe lipTae
be-chehra poster
purane calender ki tarah utar phenkne ke liye
waqt ki qashen!
waqt bahut hai hamare pas
waqt guzari ke liye
computer screen par raushan rahte hain
be-hisab gaD-maD huruf be-shumar be-KHal-o-KHat
aawazen!
ajnabiyyat ki tahon se nae rishte nae talluq
jinhen laTkaya ja sake calender ki tarah
saKHt-dil diwaron par
jinhen laTkaya ja sake calender ki tarah
sab se achchha khel hai
ajnabiyyat ko kuredna
aur kured rahe hain hamare bachche
nae rishte nae ghar nae watan
khel hi khel mein
kitna be-rishta kitna be-ghar kitna be-watan kar diya hai
hamein hamare bachchon ne!!!
hamare pas to sirf diwaren bachi hain
jin par laTkai ja sakti hai
be-masraf rishton ki faraghat!!
aur waqt bahut hai hamare pas!!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.